BoliN Rabaab Dasht mein, kaisa hai yeh dayaar
Armaan hamare dil ke hue saare taar taar
BoliN Rabaab Dasht mein, kaisa hai yeh dayaar
Sookhe gale jo pyaas se bechain hain bohut
Ghazi ko yaad karte hain ro ro ke baar baar
BoliN Rabaab Dasht mein, kaisa hai yeh dayaar
Dasht e bala mein kaise sukooN payen Bibiyaan
Har soo khadi hai jabr o tashadood ki eik qataar
BoliN Rabaab Dasht mein, kaisa hai yeh dayaar
MaaoN ke bain aur yeh bachchon ki siskiyaaN
Chhubtin hain yuhn kalaje mein jaise ke nok e khaar
BoliN Rabaab Dasht mein, kaisa hai yeh dayaar
Tareekh hai gawah ke sadmen uthayen hain
Jab jab kiya hai ummat e pa eitbaar
BoliN Rabaab Dasht mein, kaisa hai yeh dayaar
Karte hi jaa rahen hain sitam hum pa ashkiyaan
Shaamil nahin kisi ki tabiyaat mein inkisaar
BoliN Rabaab Dasht mein, kaisa hai yeh dayaar
Jisne jawaan Bete ki mayyat uthayi ho
Phir uss zaeef Baap ko kaise mile qaraar
BoliN Rabaab Dasht mein, kaisa hai yeh dayaar
Pamaal ho ke rah gayin Lail a ki hasrateen
Naiza hua jo seena e Akbar ke aar paar
BoliN Rabaab Dasht mein, kaisa hai yeh dayaar
Karbobala ke dasht mein hum sab ko gheyr kar
Bedard maut karti hai ek aik ka shikaar
BoliN Rabaab Dasht mein, kaisa hai yeh dayaar
Bachche dahel ke soo ga ye goodi mein maut ki
Jalte khayam ban gaye unke liye mazaar
BoliN Rabaab Dasht mein, kaisa hai yeh dayaar
Hum ko ye kiss maqaam par le aaye zindagi
Kuch gham pa apna bas hai na khushiyoN pa ikhtiyaar
BoliN Rabaab Dasht mein, kaisa hai yeh dayaar
Jisko bhi dekho Shah pa roota hai ai Raza*
Kul kayaanat hai mere Maula ki soogwaar