Boli MaaN, dasht e sitam mein kis tarah chhain aaye ga
Nannhi si turbat meiN Asghar, kaun dil bahlaye ga
Boli MaaN, dasht e sitam mein kis tarah chhain aaye ga
Aao MaaN ki goad meiN, aao badal doon main libaas
KhooN bhara kurta yeh, eeza jism ko pouchaye ga
Boli MaaN, dasht e sitam mein kis tarah chhain aaye ga
Maine toh bheja tha tumko paani peene ke liye
Yeh na samjhi thiN nawakh se gala chhid jaayega
Boli MaaN, dasht e sitam mein kis tarah chhain aaye ga
Maamta dhoonde gi tujhko, goad mein ai mere laal
Jab koi masoom chhera saamne aa jaye ga
Boli MaaN, dasht e sitam mein kis tarah chhain aaye ga
Hai tumhari umr chhoti, itna to soocho zara
Nannah sa masoom dil is dasht meiN dar jaayega
Boli MaaN, dasht e sitam mein kis tarah chhain aaye ga
Aaj hai Shaam e Gareeba, Kal Shab e Ashoor thi
Kya pata tha eik din mein aisa toofan aaye ga
Boli MaaN, dasht e sitam mein kis tarah chhain aaye ga
Har ghadi Beta yahi main soochti hoon baar baar
Kaun uljhe geesooN ko ab wahan suljhaye ga
Boli MaaN, dasht e sitam mein kis tarah chhain aaye ga
Woh tera nannha gala aur haye woh serah ki dhoop
Jab bhi soochon gi mere dil ko bohut tadpaye ga
Boli MaaN, dasht e sitam mein kis tarah chhain aaye ga
Neend tujhko MaaN ki lori ke bagair aati nahiN
Har ghadi bechain tu turbat meiN khud ko paaye ga
Boli MaaN, dasht e sitam mein kis tarah chhain aaye ga
Din mere nazrooN mein hoga raat se badh kar siya
Un ghane baalon ka tere jab khayal aa jaye ga
Boli MaaN, dasht e sitam mein kis tarah chhain aaye ga
Nannhe se dil ki badhen gi aur kuch bechainaya
Mere Bachche jab wahan jhoola nahin tu paaye ga
Boli MaaN, dasht e sitam mein kis tarah chhain aaye ga
Woh tere sookhe hue lab aur woh sehra ki dhoop
Yeh tassawur Maan ke dil par eik qayamat dhaye ga
Boli MaaN, dasht e sitam mein kis tarah chhain aaye ga
Kyun darooN maiN qabr ki manzil se jab ke ai Raza*
Khuld ka ghar Shah ke sadqe meiN mujhe mil jaaye ga