Beti Ali Ki Turbat e Zaherra par aayi hai

Noha

Beti Ali ki Turbat-e Zehra pe aayee hai,
Kurta Lahoo bahara hua bhai ka layee haiĀ 
Kehti hai, ai Hussain ki Madar, utho utho
Zainab se karbala ka zara majra suno

Amma, Pade hai nahar par Abbas choot kar,
Amma, Sakina soti hai zindan main be -pidar
Amma, kaha se Akbar-e-Mehroo ko lau main,
Amma, kaha se Asghar-e-Nadan ko pau main
Kehti hai, ai Hussain ki Madar, utho utho
Zainab se karbala ka zara majra suno

Amma, lahoo main doob ke Kasim bhi chal base,
Amma, Hassan ko muh na dikhane ko hum rahe
Amma, mere woh Aun o Mohammed mere pisar,
Maidaan-e-Karbala main pade hai kata ke sar
Kehti hai, ai Hussain ki Madar, utho utho
Zainab se karbala ka zara majra suno

Amma, Habib ibne Mazahir, Zohair o Qais
Amma, gaye yeh sab bhi paye nusrat e Hussain
Amma, woh Hur they jisne sar apna kata diya
Naqshe qadam Hussain mere maa ko pa liya
Kehti hai, ai Hussain ki Madar, utho utho
Zainab se karbala ka zara majra suno

Amma, Hussain Karbobala hi main rah gaye,
Amma, Hussain saare masahib ko seh gaye
Amma, Hussain mar gaye be yaaro be watan ,
Amma, hussain ko na mayaser hua kafan
Kehti hai, ai Hussain ki Madar, utho utho
Zainab se karbala ka zara majra suno

Amma, ye haal -e-Abid-e-Bimaar hogaya ,
Zalim sipahi ne le liya bistar garib ka
Amma, kadam kadam pe aseeri rulaye gee,
Gardan main tauk paav main zanjeer thi padi
Kehti hai, ai Hussain ki Madar, utho utho
Zainab se karbala ka zara majra suno

Amma, humari chaadare bhi chin gayee tamam,
Amma, humare haal par hasti hai fauj e shaam,
Amma, yeh ab batao ke mai jee ke kya karoon
Kis tarah main Hussain ke furqat ka gham sahoon
Kehti hai, ai Hussain ki Madar, utho utho
Zainab se karbala ka zara majra suno

Amma humara ranjho masahib hai dardnaak,
Amma humare khalbo jigar ho chuke hai chaak
Amma humare nana ki ummat ne ki daga,
Amma humare khoon ko samjhe sab rawa
Kehti hai, ai Hussain ki Madar, utho utho
Zainab se karbala ka zara majra suno

Amma taras ke reh gaye paani ko hum tamam,
Amma diya na humko kisi ne bhi ek jaam
Amma humare Mard tahe teg hogaye,
Amma nahake khoon main bechare so gaye
Kehti hai, ai Hussain ki Madar, utho utho
Zainab se karbala ka zara majra suno

Amma wo bibiyon ka tadapna wo shor -o-shay,
Amma rahegi yaad wo aabon bukh wo bey
Amma Rabab roti hai Asgar ko subho shaam,
Akbar ko yaad karti hai Laila-e-tashnkaam
Kehti hai, ai Hussain ki Madar, utho utho
Zainab se karbala ka zara majra suno

Baazu ke neel dekhiye Amma Khuda gawa,
Maktal ki gard bangayee ab shaa Khuda gawa
Amma ye bebasi ye qayamat ki bebasi ,
Amma Humare haal par roti hai amma bekasi
Kehti hai, ai Hussain ki Madar, utho utho
Zainab se karbala ka zara majra suno

Amma wo shaam-e-Gurbate Shabbir ahha,
Amma wo raat kaali wo sunsaan katl gaa
Amma batayiye tho main ab jee k kya karu ,
Kiss tarah ab Hussain ki furkat ka gam sahu
Kehti hai, ai Hussain ki Madar, utho utho
Zainab se karbala ka zara majra suno

Aaayi Fughan nida ki sare hashr hum bhi ab,
Kurta lahoo bhara hua rakh denge peshe rab
Beti tumhara Bhai Shah-e- Mashra khain hain,
beti tumhare sabr main fathe Hussain hai
Kehti hai, ai Hussain ki Madar, utho utho
Zainab se karbala ka zara majra suno

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *