Beemar bahut takleef mai hai

Noha

Hai shaam e ghaareban ka nauha,
Beemar bahut takleef mai hai
Aaram se hai zaalim duniya,
Beemar bahut takleef mai hai

Kuch din se ghashi ka aalam tha,
Jab aankh khuli to sannata,
Doobi hai lahu mai Karbobala,
Beemar bahut takleef mai hai

Hai chaaron taraf khemo’n ka dhua’n,
Aada to manate hai khushiya,
Ab kon sune Zainab s.a ki sada,
Beemar bahut takleef mai hai

Har dill pe bahattar sadme haiN,
Fariyaad pe durre lagte haiN,
Hai ganje shaheeda’n mai kunba,
Beemar bahut takleef mai hai

Yeh zulm ki kaisi manzil hai,
Do gaam bhi chalna mushkil hai,
Kaanto’n se bhara hai har rasta,
Beemar bahut takleef mai hai

Dushman hai yeh sab duniya wale,
Woh apni musibat kisse kahe,
Wo bheed mai rahkr bhi tanha,
Beemar bahut takleef mai hai

Zaqmo se bhara hai har phelu,
Chaalo’n se baha kuch itna lahoo,
Zanjeer ke har halqe ne kaha,
Beemar bahut takleef mai hai

Ek dill pa bahattar daagh liye,
Aakhir woh jiye to kaise jiye,
Duniya ko nahiN hai andaaza,
Beemar bahut takleef mai hai

Jeene ka nahi koi arman,
Balve maiN dhule sar hai phupiya,
Bechain bahut hai dill hai mera,
Beemar bahut takleef mai hai

Gir gir ke sambhalna hai usko,
Har haal mai chalna hai usko,
Ruk jaaye to padta hai durra,
Beemar bahut takleef mai hai

Naize pe chada hai Baap ka sar,
Aur Ahle Haram haiN be chaadar,
Kismat ne dikhaya hai kya kya,
Beemar bahut takleef mai hai

Zinda’n mai Behen ko maut aayi,
De ghusl-o-kafan kaise bhai,
Rakha hai Sakina ka laasha,
Beemar bahut takleef mai hai

Kab jsko milegi aazadi,
Zanjeer hai iski faryaadi,
Kab choot ke ghar jaana hoga,
Beemar bahut takleef mai hai

Kab toq khulega gardan se,
Kab khoon rukega gardan se,
Hai surq lahu se uski aba,
Beemar bahut takleef mai hai

Yeh likhna Suroor* aasaan nhi,
Lagta hai badan mai jaan nhi,
Tahreer karu kaise mai bhala,
Beemar bahut takleef mai hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *