Karbala Karbala
Roz Azadaron Ke Hum Kafilay
Deikhty Hain Karbala Jate Huwe
Hum Ko Bhi Sarkar Bula Lijiye
Bula Lijiye Bula Lijiye
Sab Ki Sada Karbala
Sab Ki Dua Karbala
Sab Ki Sada Karbala
Sab Ki Dua Karbala
Pucho Azadaron Se To Sab Yeh Kahen Ge
To Sab Ye Kahen Ge
Bas Maula Bulalain
Sun Lein Sadaen
Hum Ko Dikhaen Karb o Bala
Kash Hamein Hazrat e Abbas (a.s) Bulaen
Karb o Bala Ka Hamein Deedar Kra Dein
Hussain (a.s) Ya Hussain (a.s)
Karb O Bala Jaan E Azadar Hai
Karb O Bala Eshq Ka Darbar hai
Karb O Bala Jannat E Zawar Hai
Sara Jahan Jis Ka Talabgaar Hai
Hussain (a.s) Hussain (a.s)
Karb O Bala Jaan Hai
Sab Ka Ye Armaan Hai
Karb O Bala Jaan Hai
Sab Ka Ye Armaan Hai
Roza E Shabbir (a.s) Pe Sab Mil Ke Chalain Ge
Bas Maula Bulalain
Bas Maula Bulalain
Sun Lein Sadaen
Hum Ko Dikhaen Karb o Bala
Kash Hamein Hazrat e Abbas (a.s) Bulaen
Karb o Bala Ka Hamein Deedar Kra Dein
Hussain (a.s) Ya Hussain (a.s)
Maula Hum Ne Hamesha Se Yahi Hai Suna
Maal Se Daulat Se Nahi Wasta
Haan Jis Pe Karam Hota Hai Abbas (a.s) Ka
Log Wohi Jate Hain Karb O Bala
Hussain (a.s) Hussain (a.s)
Kash Bala Lo Hamein
Roza Dikha Do Hamain
Kash Bala Lo Hamein
Roza Dikha Do Hamain
Hum To Ab Tum Se Hi Bas Fariyad Krein Ge
Bas Maula Bulalain
Bas Maula Bulalain
Sun Lein Sadaen
Hum Ko Dikhaen Karb o Bala
Kash Hamein Hazrat e Abbas (a.s) Bulaen
Karb o Bala Ka Hamein Deedar Kra Dein
Hussain (a.s) Ya Hussain (a.s)
Maula Ab Bhi Croron Hain Muhib Aap Ke
Karb O Bala Jo Ke Nahi Aa Sakke
Dil Main Ziyaraat Ki Hasrat Liye
Kehte Hain Maula Hame Bulwaiyee
Hussain (a.s) Hussain (a.s)
Ya Shah E Karb O Bala
Un Ki Bhi Sun Lo Sada
Ya Shah E Karb O Bala
Un Ki Bhi Sun Lo Sada
Wo Bhi Bulaway Ka Intzar Karein Ge
Bas Maula Bulalain
Sun Lein Sadaen
Hum Ko Dikhaen Karb o Bala
Kash Hamein Hazrat e Abbas (a.s) Bulaen
Karb o Bala Ka Hamein Deedar Kra Dein
Hussain (a.s) Ya Hussain (a.s)
Ana Hai Hum Ko. Ana Hai Hum Ko
Ana Hai Hum Ko Ya Hussain (a.s) Ana Hai Hum Ko
Haan Ana Hai Hum Ko Mere Maula Wahan
Asghar O Qasim Ali Akbar Jahan
Honge Shaheedon Ke Masaib Bayaan
Karbala Hai Phr Matam E Tishna Labaan
Hussain (a.s) Hussain (a.s)
Shaheedan Ka Gham
Sham E Gareeban Ka Gham
Hum Wahan Ashoora O Chehlum Bhi Karen Ge
Bas Maula Bulalain
Sun Lein Sadaen
Hum Ko Dikhaen Karb o Bala
Kash Hamein Hazrat e Abbas (a.s) Bulaen
Karb o Bala Ka Hamein Deedar Kra Dein
Hussain (a.s) Ya Hussain (a.s)
Maula Maula
Deikhna Hai Manzar E Karb O Bala
Door Thi Kitni Wo Nehar Alqama
Jis Jagah Maula Ne Di Hal Min Sada
Jis Jagah Khaimay Jhale Sab Kuch Luta
Hussain (a.s) Hussain (a.s)
Ghazi (a.s) Gira Tha Jahan
Roi Sakina (s.a) Jahan
Ghazi (a.s) Gira Tha Jahan
Roi Sakina (s.a) Jahan
Noha Parhein Ge Wahan Matam Bhi Karein Ge
Bas Maula Bulalain
Sun Lein Sadaen
Hum Ko Dikhaen Karb o Bala
Kash Hamein Hazrat e Abbas (a.s) Bulaen
Karb o Bala Ka Hamein Deedar Kra Dein
Hussain (a.s) Ya Hussain (a.s)
Haan Kar O Bala Walay Shaheedo Salam
Haan Ap Ka Hai Sheda Yeh Aalam Tamaam
Dil Pe Likhe Hain Jo Ye 72 Naam
Yaad Rakhein Ge Yeh Tumhare Ghulam
Hussain (a.s) Hussain (a.s)
Aap Se Wada Raha
Aen Ge Jab Karbala
Aap Se Wada Raha
Aen Ge Jab Karbala
Aa Ke Salam Ap Ko 100 Baar Karein Ge
Bas Maula Bulalain
Sun Lein Sadaen
Hum Ko Dikhaen Karb o Bala
Kash Hamein Hazrat e Abbas (a.s) Bulaen
Karb o Bala Ka Hamein Deedar Kra Dein
Hussain (a.s) Ya Hussain (a.s)
Ana Hai Maula Ana Hai Hum Ko
Ana Hai Hum Ko Ya Hussain (a.s)
Ana Hai Hum Ko
Han Qabr e Shaheedan Pe
Haan Nehr E Alqama Pe
Ana Hai Hum Ko Ya Hussain (a.s)
Ana Hai Hum Ko
Haan Ana Hai Hum Ko
Muqaam E Kaf E Abbas (a.s) Han Khaima E Sadaat
Haan Muqam E Ali Asghar
Haan Muqam E Ali Akbar
Wo Roza E Shabbir (a.s)
Wo Roza E Abbas (a s)
Wo Roza E Abbas (a.s)
Hum Sab Ke Hai Ye Aas
Bas Maula Bulalain
Bas Maula Bulalain
Bas Maula Bulalain
Bas Maula Bulalain