Dasht e bala me kehti thi madar Aza do akbar sahar hui hai
Leke balye sadqe ho madar Aza do akbar sahar hui hai
Ye to mai samjhi sote ho ghafil kya karon lekin sooni hai mehfil
Isliye tumse kehti hai madar Aza do akbar sahar hui hai
Sahe jaman ke saath jinhone jalti zami par sajde kiye hai
Aye hai wo bhi qaak pe besar Aza do akbar sahar hui hai
Maine to jana jage hue ho zakm bhi tan par khaye hue ho
Tumko jaga doon ran me yeh keh kar Aza do akbar sahar hui hai
Saaf agar tum kehdo yeh mujhse jaqmi sina me dard siwa hai
Phir na kahon mai shana hila kar Aza do akbar sahar hui hai
Is pa tajjub hota hai mujhko need ye kaisi ayei hai tumko
Uthte nahi ho kehti ho rokar Aza do akbar sahar hui hai
Keh diya hota mujhse jo shai ne qalb me tere naiza laga hai
Kahe ko kehti tumse ye muztar Aza do akbar sahar hui hai
Mai yeh na kehti qheme me aao garmi ki izzat tan pe uthao
Aarzo itni ayei hon lekar Aza do akbar sahar hui hai
Chup gaya dekho sara andhera hogaya bilkul noor ka tadka
Pad lo namaze aakhri uth kar Aza do akbar sahar hui hai
Halki si ran me phaili safeedi raat ye kaati ne kali zulf sameti
Nikle taare bolte aksar Aza do akbar sahar hui hai
Maine ibadat sari hai qilqat dil me chupi hai uski mohabbat
Naame qhuda hai sabki zuba par Aza do akbar sahar hui hai
Charq pa kam kam tare hai baqi baithe hai uth ke sare namazi
Baghe iram se aye hai haidar Aza do akbar sahar hui hai