Aye momino Hussain ki saf ko uthao aaj
Khaake aza ko apne saroN pa urdao aaj
Rukhsat hai Shah ki taziye khano se haaye haaye
Behre wida e Shah sabhoN ko bulao aaj
Dil bhar ke ro lo Fatema Zehra ke laal ko
Farshe azae Shah adab se uthao aaj
Hasrat rahe na giryao matam ki saal bhar
Khud ro’o sar ko peeto sabhoN ko rulao aaj
Jaati hai aaj madare ghamdeedah Shah ki
Pursa do aur khoon ke aaNsu bahao aaj
Darbaar khatm hota hai jate haiN ShahedeeN
Rukhsat ke waqt raah mein aaNkhe bichao aaj
AaNkhe malo Zareeh e mubarak se mominoN
Turbat ko apne seene se aa kar lagao aaj
Ro lo lipat lipat ke alam se basad alam
Zehmat ka kuch khayal diloN mein na laao aaj
Baitul aza ko band karo ba -sad izteraab
Arshe khuda ko aahoN se apni hilao aaj
Rukhsat karo azaye Hussain e ghareeb ko
Aur sog sab ShaheedoN ka mil kar uthao aaj
Ab saal bhar ke baad mein hoga yeh din naseeb
Ghamgeen ho ke majlis o matam bardhao aaj
Taqseer jo hui ho azaye Hussain mein
Moula se haath jord ke sab bakhshwao aaj
Aye momino Hussain ki saf ko uthao aaj