Ashk Barsao Muharram aa gaya

Noha

MominooN ke lab pa hai aah o buka, Ashk barsao Muharram aa gaya
Chha gayi has su’ masayab ki ghata, Ashk barsao Muharram aa gaya

Dil ke hooN jazbaat har pal nauhagar, saara aalam ho faqat askhkoN se tar
Aisi goonje Wa Hussaina ki sada, Ashk barsao Muharram aa gaya

Aa gaye pardes meiN, choota watan, Jin ke laashe dasht mein thhay bekafan
Un aseeroN ka karo maatam bapa, Ashk barsao Muharram aa gaya

Apna Maula woh Husaain ibne Ali, jis ke dam se deen mein hai raushni
Asr e Ashoora who sooraj dhal gaya, Ashk barsao Muharram aa gaya

Bhool ke haalat ki yeh abtari , Apni aakhen ashk e gham se hoon bhari
Hai gham e Shabbier har gham ki dawa, Ashk barsao Muharram aa gaya

Karbala se shaam jab qaidi chale, pad gaye pairoN mein unke aable
Iss qadar dushwaar tha who raasta, Ashk barsao Muharram aa gaya

In pa rooteN hain sabhi Jinn o Malak, hai zameen ghamgeen, pareshaN hai
falak
Itna hai pursoz zikr e Karbala, Ashk barsao Muharram aa gaya

Ho na maddham aasooN ki raushni, yeh wasiyat Hazrat e Zainab ki thi
Uss wasiyat ka hai tumko waasta, Ashk barsao Muharram aa gaya

Hum ghulaamane Shah e Abraar hain, Karbala waloon ke maatamdaar hain
Yeh zameen Shabbeer ka hai ghamkada, Ashk barsao Muharram aa gaya

Aisa ho Farsh e Aza ka ehtemaam, sadqa e Shabber mein langar ho aam
Har azakhana hoek neymat kada, Ashk barsao Muharram aa gaya

Majlis o Maatam hoon, Nauhey aur Salaam, Marsiye hoon aur Zaakir ka
kalaam
Raat bhar jaari rahe yeh silsila, Ashk barsao Muharram aa gaya

Maqsad e Shabbir ho apni hayaat, ho ravaN har aakh se neher e Furath
Ho tassawur tashnagi e Shah ka , Ashk barsao Muharram aa gaya

Jitna ro sakte ho ro lo Shah par, khatm ho jaye na jane kab safar
Kya bharosa zindigi aie Raza*, Ashk barsao Muharram aa gaya

MominooN ke lab pa hai aah o buka, Ashk barsao Muharram aa gaya
Chha gayi har su masayab ki ghata, Ashk barsao Muharram aa gaya

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *