Asghar Ke Baad Chhain na aaya Rabaab ko

Noha

Asghar ke baad chhain na aaya Rabaab ko
Dekha tamaam umr tadapta Rabaab ko
Asghar ke baad chhain na aaya Rabaab ko

MaiN doodh bhi plia na saki apne laal ko
Ta zindagi raha yehi Sadma Rabaab ko
Asghar ke baad chhain na aaya Rabaab ko

Kya mera Laal aa gaya, poocha Rabaab ne
Zainab ne jab kabhi bhi pukara Rabaab ko
Asghar ke baad chhain na aaya Rabaab ko

Kha kar gale pa teer sar e dasht e Karbala
Asghar ne kar diya hai akela Rabaab ko
Asghar ke baad chhain na aaya Rabaab ko

Asghar ke baad saaye mein baithe nahin kabhi
Deta raha tassaliyaN kunba Rabaab ko
Asghar ke baad chhain na aaya Rabaab ko

Daag e judayi dei gaye zindaan e Shaam meiN
Asghar ke saath saath Sakeena Rabaab ko
Asghar ke baad chhain na aaya Rabaab ko

Sarwar ke baad khaimeN jalayen ge jab laeen
Tadpaya ga jala hua jhoola Rabaab ko
Asghar ke baad chhain na aaya Rabaab ko

Hasne ka kya sawaal tha, lab tak nahin khule
Itna gham o alam ne sataya Rabaab ko
Asghar ke baad chhain na aaya Rabaab ko

Tu khidmat e aza mein hai masroof jis tarhaN
Ishrat* pasand aaye ga nauha Rabaab ko
Asghar ke baad chhain na aaya Rabaab ko

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *