Asghar Huñ Maiñ Asghar

Noha

Shabbir ke haaton par rajas padhtey thay Asghar
Asghar Huñ Maiñ Asghar
Hoon Sipte Payambar ka main Farzand e Dilawar
Asghar Huñ Maiñ Asghar


Kaunaan ke Mukhtar ka main Lakth e Jigar hoon
Syyed ka pisar hoon
Islaam ki kashti ka hoom ek chhota sa langar
Asghar Huñ Maiñ Asghar


Mazloom ka Beta hoon main har zulm sahoon ga
Shikwa na karoonga
Go teen shab o roz ka pyaasa hoon barabar
Asghar Huñ Maiñ Asghar


Baba ki main awaaz par labbaik kahoonga
Jhoole se giroonga
Jaaon ga jo rann ko to na aaon ga palat kar
Asghar Huñ Maiñ Asghar


Sishmaah hoon talwaar se main ladd nahin sakta
Chhup rah nahi sakta
Haan teer chalen ge toh sambhaloon ga gale par
Asghar Huñ Maiñ Asghar


Daman ko udha kar jo chalen ge Shah e Wala
Ho ga kaho bala
Quraan ka guma ho ga laeenon ko sarasar
Asghar Huñ Maiñ Asghar


Pheroon ga jo main khushk zubaan khushk dahen par
Ho hashr ka manzar
Patthar ke jigar wale bhi royenge tadapkar
Asghar Huñ Maiñ Asghar


Jub hurmala kaahil ka Raza* teer chala tah
Eh hashr bapat tha
Bachche ne sipar kar diya gardan ko yeh kah kar
Asghar Huñ Maiñ Asghar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *