Apni turbat ka rasta bata do

Noha

Bano kahtin thin ro ro ke Asghar
Apni turbat ka rasta bata do
Khud chali aaye turbat par Maadar
Apni turbat ka rasta bata do

Aasoon ki main shammay jala doon
Zulm ki shab ko main din bana doon
Khwaab mein meri ek raat aa kar
Apni turbat ka rasta bata do
Bano kahtin thin ro ro ke Asghar
Apni turbat ka rasta bata do

Kaun hai jis se poochon main rasta
Dil ko thame tadapti hoon Beta
Chal chuka halq-e-Sarwar par khanjar
Apni turbat ka rasta bata do
Bano kahtin thin ro ro ke Asghar
Apni turbat ka rasta bata do

Dar pe khaimey pe kab se khadi hoon
Main tumhare liye ro rahin hoon
Maa ke oopar taras khao Asghar
Apni turbat ka rasta bata do
Bano kahtin thin ro ro ke Asghar
Apni turbat ka rasta bata do

Kaise maidaan se tumko bulaoon
Kisko khaimon se ai laal bhejoon
Soo gaya nehar pe Sher-e-Haidar
Apni turbat ka rasta bata do
Bano kahtin thin ro ro ke Asghar
Apni turbat ka rasta bata do

Waqt hai laal mere ghanimat
Sar par chhadar abhi hai salamat
Lootne aane wala hai laskhar
Apni turbat ka rasta bata do
Bano kahtin thin ro ro ke Asghar
Apni turbat ka rasta bata do

Dekh kar zalimon ki adawat
Shah-e-Deen ne chhupa di hai turbat
Kaise turbat par pouchoon main Asghar
Apni turbat ka rasta bata do
Bano kahtin thin ro ro ke Asghar
Apni turbat ka rasta bata do

Muskuraye they tum rannmein jaise
Maan ki nazron se nazren mila kar
Phir usi shaan se muskura kar
Apni turbat ka rasta bata do
Bano kahtin thin ro ro ke Asghar
Apni turbat ka rasta bata do

Sooney sooney hain jitney hain khaimey
Sab huey Shah-e-Wala par sadqay
Qasim o Aun o Abbas o Akbar
Apni turbat ka rasta bata do
Bano kahtin thin ro ro ke Asghar
Apni turbat ka rasta bata do

Main chali aaon karne ko baatey
Hain darauni yeh sehra ki raatey
Qabr mein chouk uttho na dar kar
Apni turbat ka rasta bata do
Bano kahtin thin ro ro ke Asghar
Apni turbat ka rasta bata do

Kya tadapta nahin dil tumhara
Dhyan aata to hoga hamara
Chhain kaise pada maa se chhut kar
Apni turbat ka rasta bata do
Bano kahtin thin ro ro ke Asghar
Apni turbat ka rasta bata do

Mahir* apna yeh dil ba-khabar hai
Maa ke naalon mein kitna asar hai
Chhye hai yeh sada Karbala par
Apni turbat ka rasta bata do
Bano kahtin thin ro ro ke Asghar
Apni turbat ka rasta bata do

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *