Ammu Ko Sada Di Ke, Chacha Jaan Khabar Lo,
Hota Hai Gulam Aap Pa Qurban Khabar Lo,
Dunia Me Koi Dam Ka Hun Mehman Khabar Lo,
Takleef Na Deta Magar Is Aan Khabar Lo,
Ke Zurriyat E Haidar Ki Yeh Tawkeer Hui Hai,
Ke Pamal Hamein Karne Ki Tadbeer Hui Hai.
Ada Ko Bhaga Kar Jo Lage Dhoond Ne Sarwar
Pamaal Mile Qasim E Nawshaha Sarasar (A.s.)
Godi Ka Pala Paun Ragad Ta Tha Zameen Par
Rokar Pisare Fatema (S.a.) Ne Peet Liya Sar
Dekha Jo Hasan Ko Tane sad Pash Se Lipte
Chilla Ke Husain (A.s.) Ibne Ali (A.s.) Lash Se Lipte
Yeh Kehte The Jo Maut Ki Hich ki si Aaie
Munh Khol Ke Hazrat Ko Zaban Khushk Dikhaie
Makhdoom E Alam (S.a.) ki Yeh Aawaz Sunaie
Mai Sarei Kausar hun Tere Waste Laaie
Pee Le Ise Aai Laal Ke Tar Khushk Gala Ho
Dadi Tere Sukhe Hue Hoton Pa Fida Ho
Lab Band Kiye Qasim (A.s.) E Naushah Ne Ek Bar
Yani Na Piyunga Ke Hai Pyase Shahe Abrar
Dunia Se Safar Kargaya Woh Aainaye Rukhsar
Lash Iski Chale Leke Shah Bekaso Beyar
Divhodi Pe Jo Pohuche Jo Kaha Dekh Ke Sub Ko
Aarei Woh Aaie Hai Dulha Tha Banaya Jinhe Shab Ko
Hay Hay Bane Qasim Ka Hua Shor Jo Dar Par
Bano Ne Kaha Lut Gai Logo Meri Dukhtar
Farzand Ke Lashe se Lipat Ne Lagi Madar
Sar Peet-tii Daudi Shahe Mazloom Ki Khwar (S.a.)
Phir Kaun Rahe Binte Ali (A.s.) Jab Nikal Aaie
Khaime Me Dulhan Reh Gai Aur Sub Nikal Aaie
Devhodi Se Jo Khaime Main Sheh BehroBar Aaye
Rote Hue Aur Sherm Se Gardan Ko Jhukaie
Aagosh Me The Lashaie Nawshah Uthah-ye
Akbar (A.s.) Bhi The Hamrah Padar Ashk Bahaie
Khamosh Anees Ab Nahi Takat Hai Bayan Ki
Halat Kahoon Kis Munh Se Shahe Kaun-o Maka Ki