Alwida alwida alwida ay Hussain
ye sadaye fughan aur ye majlise
matamo nowha aur gham ki ye zeenate
chahat hai ye dil yuhin qayam rahe
aah phat-ta hai dil kis tarha ye kahe
Alwida alwida alwida ay Hussain
Mere mehmaan hai aakhri ye salaam
Tujhpe qurban hai aakhri ye salaam
Shahe zeeshan hai aakhri ye salaam
Dil hai veeran hai aakhri ye salaam
Alwida alwida alwida ay Hussain
Baksh de hogayi ho jo koi khata
Haq se qidmat na humse ada ho saka
Gham yehi hai na ji bhar ke matam kiya
Teri khaatir na kyun apna sar dediya
Alwida alwida alwida ay Hussain
Gar jiye saal bhar phir karenge ye gham
Royenge phir tere gham may milkar ba -ham
Aur agar margaye to ye hoga alam
Haaye afsos jee bhar ke roye na hum
Alwida alwida alwida ay Hussain
Alwida ay Hussain ay Hussain alwida
Alwida ay Shahe mashraqain alwida
Binte Ahmed ay noore ain alwida
Hai Mujahid* ke lab par ye bain alwida
Alwida alwida alwida ay Hussain