Ali ne Sajda e Khaliq mein Tegh khaii hai

Noha

Ali ne Sajda e Khaliq mein Tegh khaii hai
Jahan mein qabl e Qayamat, qayamat aaye hi

Hui thi Khana e Kaaba mein jis ki paidaish
Khuda ke ghar mein usi ne wafaat paai hai

Mah’e Siyaam ki unneeswin thi, waqt e saher
Ke Shamme Deen e Nabi, kufr ne bujhaai hai

Bujhi thi zaher mein talwaar ibne Muljim ki
Jo Farq e Sayyad e Mazloom par lagaye hai

Namaaz e Subha mein mashgool thay Imaam e Mube en
Ke sar mein tegh sitamgaar ki dar aaye hai

Ghazab hai ho gaya, sar paash-paash Haidar ka
Do-neem Qalb e payambar hua duhaye hai

Nida falak se ye aai Imaam qatl hua
Sitam ke haaton ne buniyaad e Kaaba dhaa hai

Hua yeh shor zamane me ho gaya andher
Guroob e Maher se zulmat jahan mein chaai hai

Yeh Shia kahten hain hum aaj be Imaam huey
Sahara uth gaya taqdeer ki burai hai

Haram mein shor qayamat ka ho gaya barpa
Zameen e Kaaba bhi is gham se thartharayi hai

Ali ke paas giriN kah ke Zainab o Kulsoom
Yeh kisne halat e zaar aap ki banai hai

Abhi toh ghar se salamat gaye thay kyon Baba
Zara si der mein yeh kya musibat aai hai

SaroN se Baap ka saya utha yateem haiN hum
Ghadi yeh kaisi muqqadar ne ab dikhaai hai

Dar e Najaf pe na phir aaj tak gaye Qaisa r
Hamari aah muqqadar ki na -rasaai hai

Ali ne Sajda e Khaliq mein Tegh khaii hai
Jahan mein qabl e Qayamat, qayamat aaye hi

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *