Ali ka martaba allahu akbar
Ali ka martaba allahu akbar
Abu tAlib ka beta naam Hyder
laqab Karrar aur Siddiqe Akbar
Asadullah Karrar o Safdar
qayamt tak na hoga jinka humsar
Khuda ne Taygh di Ahmed ne Dukhtar
wiladat Khana e Kaaba hai paayi
ajal bhi aayi to masjid may aayi
farishto ki tarhe haajat rawayi
Khuda ne di jise Mushkil Kushai
kare murde ko zinda jiski thokar
Ali ka martaba Allahu akbar
mili jisko Wilayat aur Imamat
wo jiski Zauja ho Khatoone jannat
mili Shabbir o Shabbar jaisi naymat
hai ek chutki may dunya bhar ki daulat
raha jo zeenat e mehrab o mimbar
Ali ka martaba Allahu akbar
fazeelat aap ki kis se bayan ho
jo masroofe rakam saara jahan ho
waraq chahe zameen o paasban ho
rakam phir bhi na inki daastan ho
agar ho rasuhanyi ye samandar
Ali ka martaba Allahu akbar
Ali gyara Imamo ke pidar hai
Nabi hai shehr to Yeh inka dar hai
Payambar ke liye seena sipar hai
shabe Meraaj haq ke humsafar hai
Ali aur Ahmed e mursal ka bistar
Ali ka martaba Allahu akbar
nahi Binte Asad si koi aurat
mili jisko Khuda se ye fazeelat
pAli aagosh may jiski Imamat
Khuda ka ghar bana jaaye wiladat
hua jiske liye dewaar may dar
Ali ka martaba Allahu akbar
na ghusse se shikan aayi jabeen tak
na ulti jang may bhi aasteen tak
laraz jaate thay Jibraeel ameen tak
Ali ka naam hai fathe mubeen tak
likhi daste Ali pathar par naiza
Ali ka martaba Allahu akbar
madad ko aagaye jisne pukara
diya dushman ko bhi apne sahara
diya toofan may kashti ko kanara
chamak utha muqaddar ka sitara
Ali Mushkil Kusha Saaqiye Kausar
Ali ka martaba Allahu akbar
karo har saal matam Murtuza ka
manao gham Ali mushkil kusha ka
ye hai taboot Sher e Kibriya ka
ke ghar ujda Mohamed Mustufa ka
ke hai naala kuna Shabbir o Shabbar
Ali ka martaba Allahu akbar
Khuda ka ye karam kya mujhpe kam hai
Ali ka zikr aur mera qalam hai
ye sab taqdeer ki nazre karam hai
Ali ka naam kitna mohtaram hai
kahe kunwa uthake sehto Mehshar*
Ali ka martaba Allahu akbar