Akbar tujhe talaash karoon kis dayaar meiN
Sughra tadap rahi hai tere intezaar meiN

Lene ko aayega mera Bhaiyya mujhe zaroor
Main jee raheN hooN ab toh issi eitebaar meiN
Akbar tujhe talaash karoon kis dayaar meiN
Dekha hai jab se maahe Moharram ke chand ko
KyoN dil mera nahiN hai mere ikhtiyaar meiN
Akbar tujhe talaash karoon kis dayaar meiN
Main kaise ja ke poochoN bhala kafiley ka haal
Dahleez par khadeN hain kai gham qkataar meiN
Akbar tujhe talaash karoon kis dayaar meiN
Abbas bhi nahin hai na Baba hain mere paas
Apno ko dhondti hoon main askhon ke dhaar mein
Akbar tujhe talaash karoon kis dayaar meiN
Hasrat bhari nighaeN tadapti hain har ghadi
Pathra gayin hain putliyan ab intezaar mein
Akbar tujhe talaash karoon kis dayaar meiN
Mujhko khiza ke ashk rulaten hain baar baar
Jo din guzare saaya e fasle bahaar meiN
Akbar tujhe talaash karoon kis dayaar meiN
Purhal aashiyaaN mein mujhe lag raha hai yuhN
Jaise ke maut nikli hai mere shikaar mein
Akbar tujhe talaash karoon kis dayaar meiN
Asghar ki yaad seene mein chhubti hai jis tarah
Aise chuban toh hoti nahin noke khaar meiN
Akbar tujhe talaash karoon kis dayaar meiN
Sughra ke dil par girti hain rah rah kar bijliyan
Har aarzoo hai dil ki ghamoN kay hisaar meiN
Akbar tujhe talaash karoon kis dayaar meiN
Kuch aur gham uthaoon alalat ke saath saath
Ithi sakat kahan hai dil e soogwaar meiN
Akbar tujhe talaash karoon kis dayaar meiN
Gar kuch nahin to koi dilasa hi de mujhe
Kuch to qaraar aaye dile beqarar meiN
Akbar tujhe talaash karoon kis dayaar meiN
RaateN guzar rahen hain Madine mein iss tarahN
Jaise koi tadapta ho apne mazaar meiN
Akbar tujhe talaash karoon kis dayaar meiN
Kismat ke haton eik khilona hai aadmi
Kuch bhi nahin hai apne Raza* ikhtiyaar meiN