Akbar ke janaze pe mujhe le chalo bhaiyya – Mir Hasan Mir

Mir Hasan Mir

Akbar haye, haye akbar

jis waqt gira zeen se ham shakle payambar
shabbir ko zainab ne sadaa di ye tadapkar

Akbar ke janaze pe mujhe le chalo bhaiyya
hum milke utha lenge jawa’n laal ka lasha

Akbar ke janaze pe mujhe le chalo bhaiyya

—————————————–

Atthara baras wale ka sar god mein lekar
mai naade ali padhti rahungi aye baradar
tum seena e akbar se nikaloge jo naiza

Akbar ke janaze pe mujhe le chalo bhaiyya

—————————————–

Jo zakhm lage hai wo dikhaega na tumko
shayad wo takalluf mein bataega na tumko
mai maa hu magar mujh se chupa hi nahi sakta

Akbar ke janaze pe mujhe le chalo bhaiyya

—————————————–

Mai janti hu kaise jawa’n hote hai bete
aur dekhne pad jaye agar unke janaze
ab mai bhi samajh sakti hu aulad ka sadmaa

Akbar ke janaze pe mujhe le chalo bhaiyya

—————————————–

Aane nahi dungi mai kisi ko bhi waha’n par
jee bhar ke gale milna jawa’n laal se jakar
mai maut se kehdungi zara der theher jaa

Akbar ke janaze pe mujhe le chalo bhaiyya..

—————————————–

Baba mere baba ki sadaa de to raha hai
awaaz se lagta hai bohot door gira hai
lo haath mera thamo bohot door hai jaana

Akbar ke janaze pe mujhe le chalo bhaiyya

—————————————–

Us karb ki halat se nikalega tumhe kaun
wo ediya’n ragdega, sambhalega tumhe kaun
chadar se bana lungi mai kuch der ko parda

Akbar ke janaze pe mujhe le chalo bhaiyya

—————————————–

Tooti hai kamar aapki aye mere baradar
gir gir ke uthenge to hasenge ye sitamgar
mai aapko banne ko nahi dungi tamasha

Akbar ke janaze pe mujhe le chalo bhaiyya

—————————————–

Roti hai koi bibi musalsal pase parda
jab se hai suna mir takallum tera nauha
bhai se gale milke behen boli dobara

Akbar ke janaze pe mujhe le chalo bhaiyya..

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *