Akbar ka lahu sheh ki abaa tak pohoch gaya – Mir Hasan Mir

Mir Hasan Mir

Akbar.. haye akbar, haye akbar
Akbar.. haye akbar
Akbar.. haye akbar, haye akbar.
Akbar ka lahu sheh ki abaa tak pohoch gaya
dastaar se wo maa ki..
haye dastaar se wo maa ki rida tak pohoch gaya
Akbar ka lahu sheh ki abaa tak pohoch gaya

———————————————
Ayse giri hai khaime mein akbar ki laash par
zainab ka khoon khake
haye zainab ka khoon khake shifa tak pohoch gaya
Akbar ka lahu sheh ki abaa tak pohoch gaya

———————————————

Laila ye roke kehti thi akbar kaha’n ho tum
zalim ka haath meri
haye zalim ka haath meri rida tak pohoch gaya
Akbar ka lahu sheh ki abaa tak pohoch gaya

———————————————

Haye awaaz ran se aayi ke baba mai gir pada
girta hua hussain..
girta hua hussain sadaa tak pohoch gaya
Akbar ka lahu sheh ki abaa tak pohoch gaya

———————————————

Seene mein naiza todke kehta tha ye laee’n
dekho hussain apni
dekho hussain apni qaza tak pohoch gaya
Akbar ka lahu sheh ki abaa tak pohoch gaya

———————————————

Maula zaeef hogaye kuch der mein magar
akbar ka laasha aale
akbar ka laasha aale abaa tak pohoch gaya
Akbar ka lahu sheh ki abaa tak pohoch gaya

———————————————

Jis haath ne giraya tha hum shakl e mustafa
naiza liye wo haath
naiza liye wo haath rida tak pohoch gaya
Akbar ka lahu sheh ki abaa tak pohoch gaya
dastaar se wo maa ki..
haye dastaar se wo maa ki rida tak pohoch gaya

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *