Ai Parindon Dar E Zindaan Se Guzra Na Karo

Noha

Ai Parindon Dar E Zindaan Se Guzra Na Karo
Ek Yateema ko sar-e-shaam se sataya na karo

Yaad aata hai har ek lamha madina usko
Raas aaya na watan chhod ke jeena usko
Zakhm jo usko milen ho unho taaza na karo
Ai Parindon Dar E Zindaan Se Guzra Na Karo

Dekhti ha tumhe jab laute ghar jaate huey
Uski aakhoon se ubaltey hai lahii ke chasmey
Itna roi hai usey aur rulaya na karo
Ai Parindon Dar E Zindaan Se Guzra Na Karo

Tum ho aazad mubarak ho tumhey aazadi
Quaid e zindan me Sakina hai magar faryaadi
Ek quaide ko idhar aa ke dukhaya na karo
Ai Parindon Dar E Zindaan Se Guzra Na Karo

Yeh woh zindan hai jahan qaid hai pyaasi bachchi
Ser o sairab ho tum bujh na saki pyaas uski
Rasta apna badal do idhar aaya na karo
Ai Parindon Dar E Zindaan Se Guzra Na Karo

Baap se pahle pahel chooti hai kamsin hai bohut
Dekh kar tumko tadap jaaye gi mumkin hai bohut
Abhi jao to tahene ka iraada na karo
Ai Parindon Dar E Zindaan Se Guzra Na Karo

Tumko maloom nahi kitni ghutan hai usko
Dil bhi zakhmi hai safar ki bhi thakan hai usko
Uski takleef mein ab aur izafa na karo
Ai Parindon Dar E Zindaan Se Guzra Na Karo

Is yatema pe bohut tang hui hai duniya
Tum jidhar chaahey chale jao badi hai duniya
Qaidkhane ke kareeb aa ke baseera na karo
Ai Parindon Dar E Zindaan Se Guzra Na Karo

Ghair mumkin hai yateemi use mahsoos na ho
Aise shama hai ke jiska koi fanoos na ho
Apne bachcho par paron ka yahah saya na karo
Ai Parindon Dar E Zindaan Se Guzra Na Karo

Aak tak qabr e Sakina par udasi hai Suroor*
Del yeh kahta hai woh Bachchi abhi pyaasi hai Suroor*
Uske rone ke siwa koi bhi nauha na karo
Ai Parindon Dar E Zindaan Se Guzra Na Karo

One comment(s) on “Ai Parindon Dar E Zindaan Se Guzra Na Karo”

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *