Ai Bekas o ke kafila Saalar Hussaina

Noha

Aey be’kason ke qaafila saalaar Husaina, la’chaar Husaina.

Darrana adu, be’adabana huey daakhil.
Ghar Fatima* ka ho gaya bazaar Husaina, la’chaar Husaina.

Adam Safiullah se, ta Eisiye dauraaN.
Aisi na luti thi koi sarka ar Husaina, la’chaar Husaina.

Woh khanjare be’peer kuja, haaey muqaddar.
Aur woh sagahe Ahmede* Mukhtar Husaina, la’chaar Husaina.

MaaN bahnoN ke ooNtoN ka bana, kaun ShutarbaaN.
Abid* ke siwa saahebe aazaar Husaina, la’chaar Husaina.

Khud rafta MateeN* gham se hai, to kya ajab iska.
Iss gham se to tukrde hua, kohsaar Husaina, la’chaar Husaina.

Beyaar Hussaina
Aey be’kason ke qaafila saalaar Husaina, la’chaar Husaina.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *