Agar Shabbir Ka Matam Na Hota

Noha

Agar Shabbir Ka Matam Na Hota
Toh phir Islam mustahkam na hota

Sar e maqtal tadapti kyoN Jawani
Agar barchi meiN uljha dam na hota
Agar Shabbir Ka Matam Na Hota

Agar dharas na banta Sabr e Shabbir
Lahoo Besheer ka tha kam na hota
Agar Shabbir Ka Matam Na Hota

Na hoti gar bahhatar ki shahadat
Khushi duniya meiN hoti gham na hota
Agar Shabbir Ka Matam Na Hota

Na hoota gar Hussain Islam haq par
Tumhara aaj tak maatam na hota
Agar Shabbir Ka Matam Na Hota

Na gar Abbas hota jasb e nusrat
Buland itna tera parcham na hota
Agar Shabbir Ka Matam Na Hota

Na chhut jaata agar goodi ka paala
To phir Bano ke dil meiN gham na hota
Agar Shabbir Ka Matam Na Hota

Agar haq par na hote marne wale
Azaadari ka yeh aalam na hota
Agar Shabbir Ka Matam Na Hota

Na chhinti gar sar e Zainab se chadar
ZamiN se aasmaan tak gham na hota
Agar Shabbir Ka Matam Na Hota

Bahen gar qaidkhane meiN na jaati
To Bhai fatha e Azam na hota
Agar Shabbir Ka Matam Na Hota

Na milti Karbala ko sar bulandi
To phir Kaaba kise se kam na hota
Agar Shabbir Ka Matam Na Hota

Agar Shabbir ke aasooN na hote
To dard e qalb e Akbar kam na hota
Agar Shabbir Ka Matam Na Hota

Toh phir Islam mustahkam na hota
Agar Shabbir Ka Matam Na Hota

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *