adu ki fauj meiN qatl’e Shahe be_kas ka saamaaN hai
hamaara syed o aaqa faqat ek shAb ka mehmaaN hai
mili hai mohlat ek shAb ki jo aada se ibaadat ki
tO sUrf’e ta’atey Ma’abood hAr ek ba_dilo jaaN hai
isi shAb naaseroN ko jam’a karke Shaahe waala ne
kaha sAb se saher ko qatl ka meire tO saamaaN hai
tumhaari gardanoN se apni baiyat maiN uthaata hooN
jidhar chaahe chaley jaao, tumhaara haq nigehbaaN hai
kaha yeh hAr jaree ne gir ke qadmoN pAr Shahey deeN ke
nahiN chooteiga daaman hUm se jab tak jism meiN jaaN hai
khudaara hUm ghulaamoN ko na qadmoN se juda keeje
fida ho jaaeiN hUm sAb aap per yeh dil meiN armaaN hai
sAn iksath, jumey ki raat aur sannaate ka woh aalam
hai taareeki zamaane bhar meiN, zulf’e shab pareishaaN hai
bula lo Karbala meiN Fikr* ko aey Syed’e waala
waheeN ki sArzameeN par qabr ho, yeh dil meiN armaaN hai