Abid e Beemar, Abid e Beemar
Ahle Haram ka Qafila Salaar, Abid e Beemar, Abid e Beemar
Kis se kahen who apni museebat
Paon mein chalen, Raasta purkhaar
Abid e Beemar, Abid e Beemar
Ahle Haram ka Qafila Salaar, Abid e Beemar, Abid e Beemar
Kisko pukaren, kisko sada dein
Koi nahin hai uska madadgaar
Abid e Beemar, Abid e Beemar
Ahle Haram ka Qafila Salaar, Abid e Beemar, Abid e Beemar
Hai yeh sitam ki kaun si manzil
Saaye mein duniya, dhoop mein beemar
Abid e Beemar, Abid e Beemar
Ahle Haram ka Qafila Salaar, Abid e Beemar, Abid e Beemar
Jabse padi hai tauq gale mein
Saas bhi lena, ho gaya dushwaar
Abid e Beemar, Abid e Beemar
Ahle Haram ka Qafila Salaar, Abid e Beemar, Abid e Beemar
Kisko nigahen dhoond rahin hain
Charon taraf hain sirf sitamgaar
Abid e Beemar, Abid e Beemar
Ahle Haram ka Qafila Salaar, Abid e Beemar, Abid e Beemar
Qaid hain Phupiyan, who bhi khule-sar
Sar hain jhukaye, Bekas o Laachar
Abid e Beemar, Abid e Beemar
Ahle Haram ka Qafila Salaar, Abid e Beemar, Abid e Beemar
Us ke liye hain, raah mein kaaten
Jis pe nichawar, Khuld ke gulzaar
Abid e Beemar, Abid e Beemar
Ahle Haram ka Qafila Salaar, Abid e Beemar, Abid e Beemar
Khoon badan ka pee gaye chale
Haaton mein raasha, zard hain rukhsaar
Abid e Beemar, Abid e Beemar
Ahle Haram ka Qafila Salaar, Abid e Beemar, Abid e Beemar
Thokaren kha kar karta hai sajdey
Dekha nahin hai aisa giraftaar
Abid e Beemar, Abid e Beemar
Ahle Haram ka Qafila Salaar, Abid e Beemar, Abid e Beemar
Kyon na who roye, khoon ke aasoo
Naksh hai dil par, shaam ka bazaar
Abid e Beemar, Abid e Beemar
Ahle Haram ka Qafila Salaar, Abid e Beemar, Abid e Beemar
Hum ne Suroor* aaj, Khoon e jigar se
Dil par likhen hain, Nauhe ke aashaar