Abbas ke lashe par yeh bain haiN Sarwar ke
Lag jao gale Bhayya eik baar Baradar ke
Nusrat ke liye Bhayya MaiN kisko pukaruN ga,
Jab Mujhpe sitam honge har samth se lashkar ke
Abbas ke lashe par yeh bain haiN Sarwar ke
Chodo na mujhe tahna tareekh zamana hai,
Rooke raho faujoN ko tum Sher ho Haider ke
Abbas ke lashe par yeh bain haiN Sarwar ke
Tum jaan e Shujaaat ho Tum Rooh e Wafadaari
Dharas hai Mujhe Tumse Sardar ho lashkar ke
Abbas ke lashe par yeh bain haiN Sarwar ke
Pani ke liye bachche khemoN meiN tadapte hai,
Tum soote ho sahil par Sardar ho lashkar ke
Abbas ke lashe par yeh bain haiN Sarwar ke
Kya tumko gawara hai Zainab ki chine chadar,
Zanjeer hi pairoN meiN beemar ke muztar ke
Abbas ke lashe par yeh bain haiN Sarwar ke
Us waqt kayamat ke aasaar aayaN honge,
Jab khoon meiN bhare honge kapde Ali Asghar ke
Abbas ke lashe par yeh bain haiN Sarwar ke
Izzat ho ataa ya Rabb Shabbir ke sadqe meiN
Mashoor jahan kar de ashaar yeh Nayyar* ke
Abbas ke lashe par yeh bain haiN Sarwar ke
One comment(s) on “Abbas ke lashe par yeh bain haiN Sarwar ke”
Can I find the tune for this Noha ?