Abbas kahan ho aajao jahan ho

Noha

sar katgaya jab dasht may Zehra ke pisar ka
hilti thi zameen kaampta tha arshe moalla
surkh aandhi chAli khoon ugalne laga sehra
wehshat ka ye aalam tha ke hilta tha kaleja
thi ek qayamat sare maqtal jo bapa thi
gunji hui sehra may faqad ek sada thi
Abbas kahan ho aajao jahan ho

sine pa sina kha chuke Akbar gaye maare
khaAli hua jhoola Al i Asghar gaye maare
tanha hui saydaniya Sarwar gaye maare
Zainab hai pareshan chale aao jahan ho
Abbas kahan ho aajao jahan ho

namuse Payambar ko badi aas thi tumse
kya aisi bhala Bhai khata hogayi hamse
phatjaye kaleja kahin Zainab ka na gham se
kyon roothe ho kis waaste nazro se niha ho
Abbas kahan ho aajao jahan ho

is dashte musibat may kahan kho gaye Bhai
naize ki ani aayaye tatheer tak aayi
aajao zara chorke darya ki taraai
chadar sare Zainab se utarti hai kahan ho
Abbas kahan ho aajao jahan ho

ye ahle sitam aur qayamat na machade
sab lootke asbabe haram aag lagade
darr hai kahin bemaaar ka qaima na jalade
phir char taraf sirf dhuan sirf huan ho
Abbas kahan ho aajao jahan ho

aane pa sitam aur sitamgar tulay hai
talware liye sab dare qaima pa khade hai
mardo may fakad Abide bemaar bache hai
khanjar kahin Abid ke galay par na rawan ho
Abbas kahan ho aajao jahan ho

bacha koi rota hai udhar taapo may aake
bachi koi roti hai idhar khaake tamachay
laaun to bhala laaun zuban aisi kahan se
alfaaz nahi haal jo bachon ka bayan ho
Abbas kahan ho aajao jahan ho

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *