Ab aaye ho baba – Izzat Lucknowi

Noha

Woh Karbala, woh sham-e-ghariban, woh tirgi
woh Zainab-e-Aseer, woh hifazat Khaym ki

Aaya woh ek sawaar qareeb-e-khayam-e-Shah
Beti Ali ki ghaiz me soohe faras badhi

Ulti naqab chhere se apne sawaar ne
Pesh-e-nigah e Zainab-e-mazloom they Ali

Har chand sabira thi bohat Bint-e-Fatima
Be-saakhta zaban pa yeh faryaad aa gayi

Zainab ne kaha baap Ke qadmon say lipat kar
Ab aaye ho baba
Jab lut gaya pardes mein amma ka bhara ghar
Ab aaye ho baba

Baba agar aana hi tha khaliq ki reza say
us waqt na aaye
Jab khaak pe dam torh raha tha mera Akbar
Ab aaye ho baba.

Kat-kat ke gire nehar pa jab baazo-e-Abbas
aur koi na tha paas
Us waqt sada aap ko deta tha Dilawar
Ab aaye ho baba.

Jab farsh-e-zameen baam-e-falak larza fishaan thay
Us waqt kahan thay
Jab baap ke chullu mein tha khoon-e-Ali Asghar
Ab aaye ho baba.

Jab bhai ka sar katTa tha main dekh rahi thi
Hazrat ko sada di
Sar kholay hue roti thi mani khaime ke dar par
Ab aaye ho baba.

Jab log bacha le gaye lashey shohada kay
Haq apna jata kay
Bas ek tan-e-Shabbir tha pamaali ki zad par
Ab aaye ho baba.

Jab bali Sakina ke gauhar chhene gaye the
Lagte the tamache
Hasrat se mujhe dekhte thi Bano-e-muztar
Ab aaye ho baba.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *