Aaj Kufay may Shabbir-o-Shabbar ro rahe hain
Baap ko apne Zaherra ke Dilbar ro rahe hain
Behrobar may hai shor aaj barpa wa Ali ka
Aaj jibraeel arshe bari par ro rahe hain
Aaj Kufay may Shabbir-o-Shabbar ro rahe hain
Aaj Shehzadiyan hai pareshan Shah e Zeeshan
Uthke taskeen do behre daawar ro rahe hain
Aaj Kufay may Shabbir-o-Shabbar ro rahe hain
Chorr kar humko baba sidhare be-sahare
Betiyan Fatima ki ye keh kar ro rahe hain
Aaj Kufay may Shabbir-o-Shabbar ro rahe hain
Hai yateemo ke bewaon ke Waali Shah e Aali
Ab na waaris raha koi sar par ro rahe hain
Aaj Kufay may Shabbir-o-Shabbar ro rahe hain
Hay janaze pe ek shor barpa bekaso ka
Baap se lipte Shabbir-o-Shabbar ro rahe hain
Aaj Kufay may Shabbir-o-Shabbar ro rahe hain
Khaak udate hai sar par nawase Mustufa ke
Ghar se jaata hai taboote Haider ro rahe hain
Aaj Kufay may Shabbir-o-Shabbar ro rahe hain
Aey Himayat* azadare Haider peet kar sar
Aaj is tarhe nohay ko sunkar ro rahe hain