Haye abbas… Haye abbas..
Kulsoom roke kehti thi ummul baneen se
Bin bazuon ke utra hai abbas zeen se
————————————–
Ummeed pyase baccho ki mujhse judi rahe
wo chahta tha mashk e sakina bachi rahe
yu teer rokta raha apne jabeen se
Bin bazuon ke utra hai abbas zeen se
————————————–
Baba ka zakhm yaad hai gehra tha kis qadar
aise hi tha do neem mere bawafa ka sar
Haider ki tarha khan tha jaree jabeen se
Bin bazuon ke utra hai abbas zeen se
————————————–
Ek aankh me tha teer to ek aankh me lau
Khaime ki raah dhundh raha tha wo char soo
Haye, ek gurz ne gira diya..(2)
bekas ko zeen se
Bin bazuon ke utra hai abbas zeen se
————————————–
Rooh e ali ke bayn the haye mera safeer
sar par bhi gurz, bazu juda, aankh mein bhi teer
badla…
badla mera liya hai mere janasheen se
Bin bazuon ke utra hai abbas zeen se
————————————–
Saqqa haram ka dasht mein bejaan hogaya
ab marna hussain ko aasan hogaya
ye shor..
ye shor uth raha tha sipah e la’een se
Bin bazuon ke utra hai abbas zeen se
————————————–
Ghazi ki maut haal ye zainab ka kar gayi
lagta tha jaise saniye zahra bhi mar gayi
aise…
aise giri wo jaise gira bhai zeen se
Bin bazuon ke utra hai abbas zeen se
————————————–
Amma mai apne bete ka matam na kar saki
hadd ye hai, qaid hoke mai jab sham ko chali
baazu..
baazu utha ke choom na payi zameen se
Bin bazuon ke utra hai abbas zeen se
————————————–
Akbar behen ye boli ghazab ki jafa hui
asghar ke jaisi laash mere bhai ki bachi
Abid ne uske tukde chune hai zameen se
Bin bazuon ke utra hai abbas zeen se
Kulsoom roke kehti thi ummul baneen se
Bin bazuon ke utra hai abbas zeen se