Jab Aain Shaam Ki Basti Mein Nange Sar Zaina

Marsia

Jab Aain Shaam Ki Basti Mein Nange Sar Zainab
Aseer o Muztar o Betaab o Nauhagar Zainab
MuNh apna baalon se dhake thiN ooNt par Zainab
Yeh ro ro kahti thiN har dam ba chashme tar Zainab

Bahen Hussain ki huN, Fatema ki jaayi huN
MaiN Karbala e moalla se lut ke aaye huN.

—————————————-

Ujaad Maariya meiN ho gaya chaman meira
Bichard gaya Ali Akbar sa Gul -Badan meira
Hua shaheed har ek Sher e Safshikan meira
Pada hai Bhai bayabaN meiN bekafan meira

Nabi ki aal ko ahl e jafa ne loot liya
Hamare kunbe ko rann meiN qaza ne loot liya

—————————————-

Hamare pyarooN ko mehmaaN bula ke maara hai
Ali ke Laal ka khanjar se sar utara hai
Har ek Shaeed e jafa tashnalab sidhara hai
Har eik Gul ka badan rann meiN paara paara hai

Chaman pe Fatema ke aa gaye khizaN hai hai
Nishaan e Murtazavi ka mita nishaaN hai hai

—————————————-

Hamari thi jo ghiza’at ujad gayi hai hai
Bahen Hussain se rann meiN bichard gai hai hai
Hamari deed ki soorat bigad gai hai hai
Ek aur taaza musibat yeh pard gai hai hai

Bandhe haiN haath, MuNh apna chupa nahiN sakte
Yeh zulm hai ke zubaaN bhi hila nahiN sakte

—————————————-

Sawaar ooNt par haiN aur rida nahin sar par
Chupaye rahten haiN baloN se muNh ko shaam o saher
Guzarte hain hameN faaqe pa faaqe, faaqoN par
Yeh zoaf hai hameN ghash aate rahte haiN aksar

Jo chaadreN bhi koi rahem kha ke deta hai
To shimr aa ke usi waqt cheen leita hai

—————————————-

Yeh bayn karti thiN pushtar pa Zainab e Dilgeer
Kareeb ooNt ke laya laiiN Sar e Shabbir
Pakad ke haatoN se dil ko tadap gaiiN Hamsheer
PukariN Bhai bacha lo mujhe kisi tadbeer

Tumhare marne se eeza uthati hai Zaina b
LaeeN ke saamne sar nange jaati hai Zainab

—————————————-

Sakina boli ke Amma batao main qurban
Yeh kiske sar se Phuphi bain kartiN hain eezaan
Pukara Shah ka Sar, tumko Baap ka nahi dhiyaan
Bas itne roz mein humko bhula diya meri Jaan

Khabar nahin tumhe yeh bhooke pyasee ka sar hai
Lahu meiN gharq Nabi ke Nawase ka sar hai

—————————————-

Sakani Bali ne tab haath jod kar yeh kaha
Ke maaf ho meri taqseer ai mere Baba
Ke mujh Sitamzada ne tha na tumko pahchana
Waram se aakhoN ke mujhko na kuch dikhiye diya

Tamache shimr ke khaye haiN baraha maine
Rasan se zulm ke bandhwa liya gala maine

—————————————-

Chini hai sar se rida jo sitam hua Tujhpar
Ai meri Ladli naize se dekhta tha Pidar
Liye thay Shimr ne kaanoN se jab tere gauhar
Tadap rahi thi Hamari bhi rooh ai Dukhtar

RawaN the ashq na mujhko qaraar aata tha
Sina pa mujhko bhi ghash baar baar aata tha

—————————————-

Yeh kah raha tha Sar e Shah aur ashk thay jaari
Sar aur nannha sa naize pa laya ek naari
Qareeb Bano e Muztar ke laya ek baari
Pukari ro ro ke usko woh dard ki maari

Ai mere Laal mere Bekafan gareeb Asghar
Sina pa chard ke ab aaye mere qareeb Asghar

—————————————-

Yeh doodh baachoN meiN kaisa bhara hai ai mere laal
Lahu se tar hue kis tarah yeh jhandule baal
Atey hain khaak meiN kaise yeh gore gore gaal
Dahen khula hai ke marne meiN tashnagi thi kamaal

Kiya na khauf e Rasool e Khuda laenoN ne
Ghazab hai Laash pa bhi ki jafa laenoN ne

—————————————-

Yeh Bano kahti thiN ro ro ke sar se Asghar ke
Ke na gaha Sar e Sarwar se ashk bahne lage
Sada yeh aai phir halq e burida se Shah ke
Mere Sagheer pa sach hai bohut sitam guzre

Zara si jaan ki khatir yeh zulm thoda hai
LaeeN ke teer ne nannhe gale ko toda hai

—————————————-

Hue jo Hum pa sitam unko kya kaheN tumse
Chada tha seene pa qatil, gala tha tegh tale
Zabaan pher ke hootoN pa hum dikhate thay
Mili na paani ki ek boond, rah gaye pyase

LaeeN ki tegh se jab zabha Hum hue Bano
Hamari laash pa kya kya sitam hue Bano

—————————————-

Yeh bain sun ke jigar tukde ho gaya sab ka
Na zabt ho saka Bano ne sar ko peet liya
Dar e yazeed pa aaye aseer wa waila
Phupi ka Abid e Bepar ne phir ke muNh dekha

Woh BoliN dekh ke kyuN muNh ko pher roate ho
MaiN sadqe kaahe ko tum sharmsaar hote ho

—————————————-

Nahin rida jo mere sar pe iska gham na karo
Bala se saamne haakim ke le chalo mujhko
Bandhe haiN haath jo rassi se muNh se kuch na kaho
Jhukaye sar ko ghareebi se bekasi se chalo

Zaban pe harfe shikayat na laye gi Zainab
Isi tarha sar e darbaar jaaye gi Zainab

—————————————-

4 replies on “Jab Aain Shaam Ki Basti Mein Nange Sar Zaina”

I have got some more stanza if you would like to add them..

Do Provide the email Id as i have got pdf
If you wish

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *