Chut ke Qaid se ab aa gai hun main, ai Hussain
Jisko chahte thay tum wohi hoon main
Chut ke Qaid se ab aa gai hun main, ai Hussain
Main wohi hoon Zainab e Zabil Kalaam
Jiske Baap Bhai dono thay Imaam
Jiske parde ka tha itna ehtimaam
Jiske laane me kiya tha intezaam
Dar-ba-dar barhaina sar phiri hoon main, ai Hussain
Chut ke Qaid se ab aa gai hun main, ai Hussain
Eik din thin baam par main mahave khwab
Fark se sarak gayi chadar shitab
Subha na hui na nikla aaftaab
Kal thi izzat aaj hoon main benaqaab
Fatima Zaherra ki laadli hoon main, ai Hussain
Chut ke Qaid se ab aa gai hun main, ai Hussain
Uttho uttho Bhai der kyun lagao
Aun o Mohammad ko saath lete aao
Hum-Shabi e Mustafa ko bhi bulao
Kah do Saqqe se, Bahen ke paas aao
Jaagtey nahin, jaga rahin hooN main, ai Hussain
Chut ke Qaid se ab aa gai hun main, ai Hussain
Uttho uttho Bhai ke Fidayoon
Tod ke nayaam pheko bhaiyon
Ai muhaid deen e karbaliyoN
Uttha Mustafa o MurtazaiyoN
Sab chalo Madine jaa rahiN hooN main, ai Hussain
Chut ke Qaid se ab aa gai hun main, ai Hussain
Ai Hussain ke mohibbon peeto sar
Zainab e hazeen patak ke apna sar
Aa ke gir padi akhi ki qabr par
Kah rahin hain yeh akhi ki qabr par
Uttho Bhayya kunba laa rahin hoon main, ai Hussain
Chut ke Qaid se ab aa gai hun main, ai Hussain