Bano ka yeh armaaN tha Aabad Makan ho ga

Noha

Bano ka yeh armaaN tha aabad makan ho ga
Eik din to woh aaye ga Asghar bhi jawaN ho ga
Bano ka yeh armaaN tha aabad makan ho ga

Koi mere bachche ko thoda sa to do paani
Dil pyaas ki shiddat se seene mein tapa ho ga
Bano ka yeh armaaN tha aabad makan ho ga

Gar mujho khabar hoti, jhoola na banati main
Gahwara tera Asghar, ab baagh e Jina ho ga
Bano ka yeh armaaN tha aabad makan ho ga

Duniya mere bachche ko afsoos na raas aaye
Ab goad mein Dadi ki jannat me jawan ho ga
Bano ka yeh armaaN tha aabad makan ho ga

Yeh Karbobala ka Bann aur Shaam ka who zindaan
Maa tere kahan ho gi, aur Laal kahan ho ga
Bano ka yeh armaaN tha aabad makan ho ga

Asghar tere jhoole ko ab kaun jhulaye ga
Main shaam chali beta ab kaun yahan ho ga
Bano ka yeh armaaN tha aabad makan ho ga

Tum goad mein sotay thay kyun goar pasand aayi
Wah khaakh ka bistar hai, aaram kahan ho ga
Bano ka yeh armaaN tha aabad makan ho ga

Har maa tujhe duniya ki roye gi qayamat tak
Jab teri shahadat ka Majlis mein bayan ho ga
Bano ka yeh armaaN tha aabad makan ho ga

Asghar tere laashe par Maa kahti hai ro ro kar
Beta tujhe maut aayi ab kaun jawan ho ga
Bano ka yeh armaaN tha aabad makan ho ga

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *