Ali Ne Maanga Tha Ghazi Ko Karbala Ke Liye

Noha

Wafa thi unke liye auy yeh wafa ke liye
Ali ne maanga tha Ghazi ko Karbala ke liye

Jari ke pairon ko chooma hai, roz e Aashoora
Yeh khushnaseebi rahi, mauje al qama ke liye
Ali ne maanga tha Ghazi ko Karbala ke liye

Wafa thi unke liye auy yeh wafa ke liye
Ali ne maanga tha Ghazi ko Karbala ke liye

Hussain Jhoola Jhulate thay, Inko yeh kah kar
Yeh kaam aayega Zainab, trte rida ke liye
Ali ne maanga tha Ghazi ko Karbala ke liye

Wafa thi unke liye auy yeh wafa ke liye
Ali ne maanga tha Ghazi ko Karbala ke liye

Lab e Furath jo bazoo qalam hue inke
Bohut bada tha yeh gham rooh e Sayyada ke liye
Ali ne maanga tha Ghazi ko Karbala ke liye

Wafa thi unke liye auy yeh wafa ke liye
Ali ne maanga tha Ghazi ko Karbala ke liye

Alam ke saaye mein aate hi mil gayi seyhat
Tadap rahe thay kai din se jo shifa ke liye
Ali ne maanga tha Ghazi ko Karbala ke liye

Wafa thi unke liye auy yeh wafa ke liye
Ali ne maanga tha Ghazi ko Karbala ke liye

Na jane kis liye Haidar ne Inke baazo ko
Hazaar bose gale se laga laga ke diye
Ali ne maanga tha Ghazi ko Karbala ke liye

Wafa thi unke liye auy yeh wafa ke liye
Ali ne maanga tha Ghazi ko Karbala ke liye

Sakina Baba se isne wigha dilaao hame
Zara sa kaam yeh kar do faqat Chacha ke liye
Ali ne maanga tha Ghazi ko Karbala ke liye

Wafa thi unke liye auy yeh wafa ke liye
Ali ne maanga tha Ghazi ko Karbala ke liye

One comment(s) on “Ali Ne Maanga Tha Ghazi Ko Karbala Ke Liye”

If the owner read this please reply I m searching for line like ” wo gustkhe Ali k wefaq beda …Nisha e jiska Alam mein atka ” i don’t remember the lines correctly but if u understand it mind telling me name of this 1 please

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *