Akbar-e-Kariyal Jawan

Noha

badal raha hai nizame aalam
qadamqadam inquilaab payham
magar hamari zaban pe har dam
Ali Ali hai, Ali wali hai

ye naame naami isme aazam
isi se milta hai azme mohqam
sanad mili jisko la fata ki
wo marde maidan yehi Ali hai
Ali Ali hai, Ali wali hai

zabane aAdam pe ya Ali hai
zabane Qatam pe ya Ali hai
wo ibteda thi ye inteha hai
ajal Ali hai abad Ali hai
Ali Ali hai, Ali wali hai

dayaze Qum wo Nabi ka qutba
dikha rahe hai Wasi ka chehra
idhar baland ho rhe hai Maula
udhar se aayat utar rahi hai
Ali Ali hai, Ali wali hai

ghubaar dil ka hai rukh pe chaaya
alam Ali ne hai ran may paaya
kisi ka chehra damak raha hai
kisi ki rangat udi udi hai
Ali Ali hai, Ali wali hai

zamana dekhe to zulm ki had
hue Aale Nabi muqayyad
barehna sar hai Ali ki beti
rida bhi aada ne cheen li hai
Ali Ali hai, Ali wali hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *