Ro Ke Kehti Thi Madar – Ai Sakina Ghar Chalo

Noha

Ro Ke Kehti thi yeh Madar – ai Sakina ghar chalo
Chain aaye mujhko kyonkar, ai Sakina ghar chalo

Jab chalin thi main Madine se to thi godh bhari
Ab nahin godi mein Asghar, ai Sakina ghar chalo

Maang bhi ujidi hai meri goad bhi khali hui
Ab na Qasim hain na Akbar, ai Sakina ghar chalo

Parda baalon se kiya tha Shaam ke darbaar mein
Dil pe beeti hai hum ko chadar, ai Sakina ghar chalo

Tum kaha karti thi amma kab watan jaayenge hum
Ab watan jaati hun chhut kar, ai Sakina ghar chalo

Woh andgeri qabr aur woh qaidkhana Shaam ka
Neend aaye tumko kyonkar, ai Sakina ghar chalo

Yeh bata do meri jaan pooche gar Sughra tumhe
Kya bataoon usko jaakar, ai Sakina ghar chalo

Tum Akeli ho yahan Baba ka seena bhi nahin
Chhod kar jaoon main kis par, ai Sakina ghar chalo

Bain se Bano ke Zamin* qaidkhana hil gaya
Jab kaha madar ne ro kar, ai ai Sakina ghar chalo

Ro Ke Kehti thi yeh Madar – ai ai Sakina ghar chalo

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *