daakhile Koofa hua jab naaeb’e Sultaane DeeN
az rahe makr aaey baiyat ko hazaaroN mushrekiN
le li baiyat KoofiyoN se Hazrat’e Muslim ne jab
naama ek bahr’e talab bheija suey Sultaane DeeN
baad iss ke ho gaey sAb ahle koofa munharif
aur baraaey qatl’e Muslim aa gai fauj’e laeeN
aalam’e tanhaai, shiddat pyaas ki, jaaeN kahaaN
ab kahiN dhooNde se bhi jaaey amaaN milti nahiN
ittefaqaN raah meiN jab khanaey Tau’a mila
tab kaha paani pila de bahr’e Khatmul MursaleeN
jaam paani ka pila ke momina ne baa_adab
aap se naam o nishaaN poocha ba_aawaaze hazeeN
baad israar uss se haalat be_kasi ki jab kahi
sunte hi naam apne ghar meiN le gai woh paak deeN
raat bhar mehmaaN rahe, laRke ne uske subho ko
haakime Koofa se kah kar bheij di fauje laeen
ghar se nikle suntey hi ghoRoN ki taapoN ki sada
aur kheeNchi teigh bahr’e qatle fauj’e mushrekeeN
ho gaey jab aap se maghloob woh makkaar sab
karke khas_posh ek gaRhey ko hAt gaey peechey laeeN
laRte laRte Hazrate Muslim gire uss ghaar meiN
hamla_war naizon se be_kas par huEy aadaaey deeN
baad’e qatl ek resmaaN se paaey mayyat baandhkar
kheenchte phirte thEy baazaaron meiN Koofa ke laeeN
kAr dua aey Fikr* khaliq se ke mar jaane ke baad
qabr ko mil jaaey nizd’e rauzaey Muslim, zameeN