jahaaN meiN aaj ibne Saqiye Kausar ka chehlum hai

Noha

jahaaN meiN aaj ibne Saqiye Kausar ka chehlum hai
qateel’e raah’e haq, sardaare bahr o bar ka chehlum hai

rahi jalti zameeN pAr laash jis mazloom ki uryaaN
usi Shaahe do aalam, kushtaey khanjar ka chehlum hai

jo saqqaaey Sakina aur Alambardaare lashkar tha
usi dilbande Haider, ghaazio Safdar ka chehlum hai

qalam shaane huEy darya pa jiske, roaze Aashoora
karo maatam ke aaj uss saaniye Jaafar ka chehlum hai

sinaaN seene pa kha ke, jis ne apni jaan di rUn meiN
usi noore nigaahe Shaahe deeN, Akbar ka chehlum hai

jawaani roaegi jispar qayaamat tak zamaane meiN
usi kaRyal jawaaN hUmshakle Paighamber ka chehlum hai

na jo pusht’e faras par, kamsini se baith sakta tha
zamaane mein usi lakhte dile Shappar ka chehlum hai

shuja’at aur ghairat, jis ke sin par fakhr karti thi
usi naashaado kamsin, Qasim’e muztar ka chehlum hai

baRhaaya doodh jiska Hurmala ne, apne paikaaN se
azeezoN aaj uss naadaaN, Ali Asghar ka chehlum hai

hua tha qatl jo jo nusrate Shaahe dO aalam meiN
uRaao khaak aaj un ghaaziyo safdar ka chehlum hai

tujhe aey Fikr* jiski qabr par jaane ki hasrat hai
usi mazloom, tashna lAb, ShAhe be_sAr ka chehlum hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *