maaN choti si mayyat pa yeh ro ro ke pukaari, aey ShAh ki yateemah
pardeis mein kya tUm bhi khafa ho gaeeN waari, aey ShAh ki yateemah
sabr aa gaya lipta ke sAr’e Shaahe zaman ko, kya iss liye chupp ho
thi baap ki furqat meiN sada girya o zaari, aey ShAh ki yateemah
haiN zakhm jo kaanoN meiN dikha do woh padar ko, rukhsaar dikha do
aur peeth pa durroN ke nishaaN, maaN gai waari, aey ShAh ki yateemah
roti theeN shab o roaz padar ke liye aey jaaN, maadar gai qurbaaN
kya paate hi sAr khuld gai teiri sawaari, aey ShAh ki yateemah
seeney pa sadaa baap ke tUmm soti theeN shab ko, gham kyun na ho sabko
be_hosh hai ab khaak pa maadar tere waari, aey ShAh ki yateemah
kis baat pa roothi ho zara aaNkh to kholo, kuch muNh se to bolo
sadqey gai maaN chaand si surat pa tumhaari,aey ShAh ki yateemah
kumhla gaya kis waaste yeh chaand sa chehra, kya haal hai teira
kya too bhi suEy baagh e jinaaN aaj sidhaari, aey ShAh ki yateemah
zindaaney bala meiN hai qayaamat ka andheira, maaN kya karey dukhiya
ghurbat meiN hai be_goro kafan laash tumhaari, aey ShAh ki yateemah
aey Fikr* tha zindaaN meiN bapa shoar’e qayaamat, thamti na thi riqqat
sAb ahle haram kahte thEy baa_girya o zaari, aey ShAh ki yateema