Ali Ali Ali Ali Akbaram
Rahat E Jaan
Vird E Zaban
Sa’at E Azan
Jaan Ali Akbaram
Jaan Ali Akbaram
Jawan Ali Akbar
Naujawan Ali Akbar
Aye Gule Laila Ali Jaan Ali Akbaram
Jawan Ali Akbar Naujawan Ali Akbar
Naujawan Ali Akbar
Aye Dil O Jaan E Pidar, Shakl E Payambar Akbar
Aye Qarar E Dile Zainab, Gule Madar Akbar
Misle Abbas E Jari Shere Dilaawar Akbar
Yusuf E Fatima Zahra, Dile Haider Akbar
Husn E Zaman Akbar, Aye Naze E Chaman Akbar
Aye Gule Laila Ali Jaan Ali Akbaram
Jawan Ali Akbar Naujawan Ali Akbar
Najawan Ali Akbar
Maula Shabbir Ne Maanga Hai Duaon Me Tumhe
Ghazi Abbas Ne Rakha Hai Panaahon Me Tumhe
Mil Ke Do Maaoñ Ne Pala Hai Ridaon Me Tumhe
Rabbe Akbar Ne Rakha Noori Hijaabon Me Tumhe
Nauz E Dil E Sarwar Aye Shabeeh E Paighambar
Aye Gule Laila Ali Jaan Ali Akbaram
Jawan Ali Akbar Naujawan Ali Akbar
Rahat E Jaan
Vird E Zaban
Sa’at E Azan
Jaan Ali Akbaram
Jawan Ali Akbar Naujawan Ali Akbar
Boleeñ Laila Ke Gale Mujhko Lagate Jao
Boleeñ Zainab Mujhe Surat To Dikhate Jao
Bole Shabbir Meri Aas Bandhate Jao
Mujhko Nana Ki Ziyarat To Karate Jao
Haye Lahu Mein Tar Ham Surat E Paighambar
Aye Gule Laila Ali Jaan Ali Akbaram
Jawan Ali Akbar Naujawan Ali Akbar
Naujawan Ali Akbar
Kaise Maqtal Tumhe Jaane Ki Ijazat De Doon
Kaise Khaime Se Nikalne Ijazat De Doon
Kaise Is Pyaas Me Ladne Ki Ijazat De Doon
Maa Hoon Kaise Tumhe Marne Ki Ijazat De Doon
Jaun Dil E Madar Ye Maa Ho Fida Tum Par
Aye Gule Laila Ali Jaan Ali Akbaram
Jawan Ali Akbar Naujawan Ali Akbar
Rahat E Jaan
Vird E Zabaan
Sa’at E Azaan
Jaan Ali Akbaram
Jawan Ali Akbar Naujawan Ali Akbar
khake Seene Pe Sina Zeen Se Akbar Jo Gira
Ho Gaya Khaimo Me Kohram Bapa Wa-waila
Ye Sada Dasht Me Deta Tha Ghareeb E Zahra(S.a)
Haye Akbar Mera Akbar Mera Akbar Na Raha
Noore Nazar Akbar Aye Nouze Pidar Akbar
Aye Gule Laila Ali Jaan Ali Akbaram
Jawan Ali Akbar Naujawan Ali Akbar
Naujawan Ali Akbar
Rahat E Jaan
Vird E Zaban
Sa’at E Azan
Jaan Ali Akbaram