turbate be_sheer pa kahti thi maaN Asghar utho
kab tak iss tanhaai meiN so_oage aey dilbar utho
hai andheira ghar meiN, nazroN meiN jahaaN taareek hai
kab talak pinhaaN rahoage, aey mahe anwar utho
hUm sabhoN ko qaid karke ashqiya le jaaeiNge
kis tarha tanha tumheiN choReigi yeh maadar utho
goad khaali deikhkar pooche agar Sughra tumheiN
kya kahe uss na_tawaaN se maadare muztar utho
goad se meiri juda hoate na thEy tum tO kabhi
neeNd iss sunsaan bAn meiN aa gai kyuNkar utho
kis liye naaraaz ho, aao mana looN maiN tumheiN
kuch zabaaN se tO kaho, sadqe gai maadar utho
doodh dO din se na paaya, iss liye roothEy ho kya
be_kaso majboor hai maaN, aey mere dilbar utho
kis tarha tanha andheiri raat meiN neeNd aaeigi
aao seene se laga lEy maaN Ali Asghar utho
ho gai hai zindagi dushwaar ab afkaar se Fikr*,
rauze par chalo, bAs ya Ali kahkar utho