doosri maah’e Muharram ki hai roaeiN momeneeN
Karbala mein aa chuke haiN maalike khuld’e BareeN
bast o hashtum ko Rajab ki jab chale Sultaane deeN
auur aamaada hui chalne pa beemaar o hazeeN
shAh ne farmaaya ke beemaari meiN kyuNkar saath looN
Fatima Sughra abhi kuch roaz tUm thahro yaheeN
jab kisi jaa par hamaara hoga aey beiti qayaam
bheij kar Akbar ko bulwa leiNge hUm tumko waheeN
shAh se Sughra ne kaha achcha agar jaat’e haiN aap
rahne deejey meire choate bhaai ko baaba yaheeN
jaan se apni ziyaada hai mujhe Asghar azeez
iski furqat meiN maiN mAr jaauNgi beemaar o hazeeN
baad isske goad meiN Sughra ne Asghar ko liya
aur kaha roakar sidhaareiN ab shAh’e dunya o deeN
jab bahot israar Asghar ke liye ShAh ne kiya
tab yeh baateiN yaas o hasrat se bhari Sughra ne keeN
khud se gar Asghar chala jaaey kisi ki goad meiN
to khushi se saath le jaaweiN Imam’e istaqeeN
sUn ke yeh phailaaey sAb ne haath Asghar ki taraf
par na utra goad se woh kaukab’e charkh’e bareeN
nizd’e Asghar usske baad aaey Hussain Ibne Ali
aur kaha yeh kaan meiN Asghar ke kyuN aey mah jabeeN
bakhshishe ummat ka kya tumko nahiN mutlaq khayaal
ab chalo Karbo bala ko najm’e Khatmul MursaleeN
sun ke yeh aawaaz ShAh ki goad meiN aaya woh tifl
algharaz raahi huEy waaN se sipeh saalaar’e deeN
woh safar hle Haram ka, aur woh bachchoN ka saath
dhoop ki shiddat, hawaaeiN garm aur tapti zameeN
raaste ki sakhtiyaaN saht’e huEy waarid huEy
doosri maah’e aza ko Karbala meiN ShAh’e DeeN
Fikr* ko ab Hind meiN rahna bahot dushwaar hai
apne rauz’e par bula lo ya imam’e MuttaqeeN