Abbas ke Lashe pa yeh Shabbir pukare,
Uttho mere Bhai
Hum khaime se yahn aaye hain lene ko tumhare,
Uttho mere Bhai
Peeri ka saath chhin gaya hum go gaye be-aas,
Koi na raha paas
Maan jaao tum hi ai meri peeri ke sahare
Uttho mere Bhai
Kya yeh bhi koyi mohabbat ka hai andaaz
Hai aashiqu-e-jaanbaaz
Daryia ko to keh kar gaye Kausar ko sidhare
Uttho mere Bhai
Tum Bali Sakina ke liye laye na paani,
woh roti hai jaani
Bacchi ki zabaan dekho aur Asghar ke ishare
Uttho mere Bhai
Qurban huye mashk pe tum jaan-e-biradar
Lekin mere safdar
Tum arsh-e-wafa ke ho chamakte huwe taare
Uttho mere Bhai
Dharas thi bari sub-ko, khayaal iska to karte
Ghurbat mein na marte
Tum jeete magar hum bhi to himmat nahi hare
Uttho mere Bhai
Cheene ge redha Zainab-o-Kulsoom ki asraat
Yeh ghaazi o jallad
Hum chhod ke ab jaye unhe kis-ke sahare
Uttho mere Bhai
Kehte the Wazir* aha yeh jab Shah-e-do-alam
Ek hashr tha parham
Tum muj-se zaefee me juda ho gaye pyaree
Uttho mere Bhai
Abbas ke Lashe pa yeh Shabbir pukare,
Uttho mere Bhai
One comment(s) on “Abbas ke laashe par Shabbir pukare”
Salamun alaikum bhai
Bade adabo tahzeeb ke saath kahana chahunga ki English translation me Ghalatiyan hain please isko Hindi me bhi likhe taaki ispe sudhar ho sake.