Darbar mein jo aaye Aseeran e Karbala
Dekha sitamgaroN ka hai majma bhara hua
Chadar na thi saroN pe to uthte na thay qadam
Goshe mein ja ke baith gaye Aal e Mustafa
Halqa kiya kaneezoN ne Zainab ke saamne
DekheN na ta ke Saani e Zaherra ko behaya
Aal e Nabi ko dekh ke kahne laga yazeed
Bibi yeh kaun goshe meiN baithiN haiN berida
Bola yeh shimr khahar e Shabbir haiN yahi
Zainab hai naam, Dukhtar e Zaherra o Murtuza
Kahne laga yazeed, KaneezoN ko hukm de
Zainab ke saamne se woh hat jaayeN ab zara
Baaten karoonga Khawar e Shabbir se maiN khud
PoochoN ga, Apni aakh se dekha hai tumne kya
KyuNkar shaheeed dasht meiN Shabbir ho gaye
Zaherra ka bagh kat gaya kaisa hara bhara
Shimr e laen ne aate hi hukm e yazeed se
Un sab KaneezoN se kaha, hat jao tum zara
Sab to yeh sun ke hat gayi lekin hati na eik
Us se dobaraN shimr ne ghusse meiN phir kaha
Hat ja maiN tujse kahta hooN, sunti nahi hai tu
Kahne lagi ke door ho zalim, nahi haya
Darbaar meiN hai ahl e tamasha ka bhi hujoom
SaidaniyoN ke sar pa nahin hai koi rida
Ghusse mein shimr ne kaha, hati nahin agar
MaaroN ga taziyane se, doonga tujhe saza
Boli majaal kya hai lagaye jo mujhko haath
Tanha samajh na mujhko sitamgar yahan zara
Yeh kah ke boli ghaiz mein un hapshiyoN se phir
Jo pusht e sar yazeed ke maujood tha pada
Afsoos kya hamiyate khaumi nahi rahi
Ek shaqs ghair maarne aaya hai be qata,
Tum sab ke saamne mujhe durrey lagayen ge
Manzoor gar yahi ha to mujhko hai uzr kya
Sunte hi is kalaam to habshi bigad gaye
Talwaar khaich khaich ke har eik ne kaha
Shimr e laen ko rok le sunta hai ai amir
Warna lahoo bahe ga abhi hashr hoye ga
Qayal hua yazeed to bola woh shimr se
Durra na padne paye khabardaar ab zara
Jab woh kaneez bach gaye jaur e laen se
Zainab ne rukh Najaf ki taraf kar ke yeh kaha
Koi bachane mujhko na aaya MaiN kya karoon
Bandha hai ashkiya ne rasan se cheeni rida
Bas aey Razi* tamam karo gham ki daastan
Kisme hai taab sun jo sake saara waqiya.