Ghar Sakeena Ka Hai Quaid Khana
Ab na ho ga watan uska jana
Ghar Sakeena Ka Hai Quaid Khana
Ro ke trubat se boli Sakeena
Jane waloN hame bhool jaana
Ghar Sakeena Ka Hai Quaid Khana
Qaied hai aur lahed ka andhera
Ab gaya roushni ka zamana
Ghar Sakeena Ka Hai Quaid Khana
Gham Sakeena ka samjha ushi ne
Jo parinda hai be ashiyana
Ghar Sakeena Ka Hai Quaid Khana
Kaise jeeti who jab eik din mein
Lut gaya zindigi ka khazana
Ghar Sakeena Ka Hai Quaid Khana
Jo na ro paye Baba par usko
Roye ga hashr tak ab zamana
Ghar Sakeena Ka Hai Quaid Khana
Teer jitne chale ranj o gham ke
Uska masoom dil tha nishana
Ghar Sakeena Ka Hai Quaid Khana
Kamsini meiN mile zakhm itne
Maut ka ban gaya yeh bahana
Ghar Sakeena Ka Hai Quaid Khana
Baap maqtal meiN Beti LahedmeiN
Ab kahan roothna aur manana
Ghar Sakeena Ka Hai Quaid Khana
Thi amari sakeena ki khali
Kafila jab hua tha rawana
Ghar Sakeena Ka Hai Quaid Khana
Kitni ghurbat meiN maut aaye usko
Tha kafan uska kurta purana
Ghar Sakeena Ka Hai Quaid Khana
Jaagte jaagte mar gayi who
jisko dushwar tha neend aana
Ghar Sakeena Ka Hai Quaid Khana
Yaad karna Suroor* uski turbat
Jab andhere meiN shama jalana
Ghar Sakeena Ka Hai Quaid Khana