Ai Hussain e Karbala Ai Mehmaan-e-Lucknow
Tere Qadmo ki badaulat ab hai shaan-e-Lucknow
Dard se Maula bhar aaya hai tere shayar ka dil
Teri jaan tak to fugan ho tarjuman-e-Lucknow
Ai Hussain e Karbala Ai Mehmaan-e-Lucknow
Thes lag jaye gi tere Qalb-e-Zakhmi ko Shahab
Warna kar deta wazahat se bayan-e-Lucknow
Ai Hussain e Karbala Ai Mehmaan-e-Lucknow
Tere gham ke mah siwa yeh gham bhi hai is quam ko
Kya thay aur kya rah gaye hain taaziyaan-e-Lucknow
Ai Hussain e Karbala Ai Mehmaan-e-Lucknow
Kal ki woh shahi azakhanon mein tere majlisen
Jin me ab tak kuch nazar aati hai shaan-e-Lucknow
Ai Hussain e Karbala Ai Mehmaan-e-Lucknow
Ai Ali ke laadle daaman na chhoden ge tera
Jis tarah se kar le imthiyan-e-Lucknow
Ai Hussain e Karbala Ai Mehmaan-e-Lucknow
Bas chale gar chane walon ka tere ai Hussain
Tere rauze ko utha layeny miyan-e-Lucknow
Ai Hussain e Karbala Ai Mehmaan-e-Lucknow
Do maheene aath din tak tere maatam mein Hussain
Arsh se ja ja kar takraye fughan-e-Lucknow
Ai Hussain e Karbala Ai Mehmaan-e-Lucknow
Khuld mein sham-o-saher ki majlison ke waastey
Fatiman ne chun liye do khushbayan-e-lucknow
Ai Hussain e Karbala Ai Mehmaan-e-Lucknow
Ek dabeer-e-do-jahaan hain ek Anees-e-kayanat
Ek rooh-e-Lucknow hai ek Jaan-e-Lucknow
Ai Hussain e Karbala Ai Mehmaan-e-Lucknow
Aaaj hai maatam ka tere aakhri din ai Shaab*
Jaa rahin hai yeh baharen gulistan-e-Lucknow
Ai Hussain e Karbala Ai Mehmaan-e-Lucknow
Kis tarhan rukhsat karen ai Zeenat-e-Doshe-Rasool
Tujhse ja milna hai maula Sakhinan-e-Lucknow
Ai Hussain e Karbala Ai Mehmaan-e-Lucknow
Tere Akbar ke tassadiq tere Asghar ke nisar
Har jawan-e-Lucknow har bezubaan-e-Lucknow
Ai Hussain e Karbala Ai Mehmaan-e-Lucknow
Yeh to kahiyea aap ke bhai ki yah dargha hai
Warna kab tak mit gaya hota nishan-e-Lucknow
Ai Hussain e Karbala Ai Mehmaan-e-Lucknow
Dekh to mud kar zara yeh apni rukhsat ka sama
Kis tarah ujda pada hai har makaan-e-Lucknow
Ai Hussain e Karbala Ai Mehmaan-e-Lucknow
Alvida ai Fatima Zahera ke Dilbar alvida
Har taraf goonji huin yeh fugaan-e-Lucknow
Ai Hussain e Karbala Ai Mehmaan-e-Lucknow
Jate jate mere maula yeh batate jaayea
Saal bhar tak kya karen ge saakinan-e-Lucknow
Ai Hussain e Karbala Ai Mehmaan-e-Lucknow
Hum gareebon ki taraf se chand aasoo kar qobool
Aur de sakte hain kya hum muflisan-e-Lucknow
Ai Hussain e Karbala Ai Mehmaan-e-Lucknow
Tab-e-Maatam aur yeh aasoo pesh kardena Shahid*
Aakhri Shabbir jab aaye miyaan-e-Lucknow
Ai Hussain e Karbala Ai Mehmaan-e-Lucknow