Zuba Zuba Pe Hai Nauha Ali Shaheed Huey
Har eh aakh hai darya Ali Shaheed huey
Zuba Zuba Pe Hai Nauha Ali Shaheed Huey
Nabi ke baad yeh Nafs e Nabi ki rukhsat hai
Hai sogwaar Madina Ali Shaheed huey
Zuba Zuba Pe Hai Nauha Ali Shaheed Huey
Lagaye sajde me zarbat jo ibn-e-Muljim ne
Laraz ke rah gaya Kaaba Ali shaheed huey
Zuba Zuba Pe Hai Nauha Ali Shaheed Huey
Yeh kaisa zulm kiya toone zarbat -e-qatil
Lahoo-lahoo hai mussalla Ali shaheed huey
Zuba Zuba Pe Hai Nauha Ali Shaheed Huey
Hasan Hussain par toota musibaton ka pahad
Utha rahen hain Janaza Ali shaheed huey
Zuba Zuba Pe Hai Nauha Ali Shaheed Huey
Pacchade khaaten hain ghar bhar mein Zainab o Kulsoom
Uttha hai baap ka saaya Ali shaheed huey
Zuba Zuba Pe Hai Nauha Ali Shaheed Huey
Khuda ke baad sahara tha jis-se woh na raha
Hai Gibraeel ko sadma Ali shaheed huey
Zuba Zuba Pe Hai Nauha Ali Shaheed Huey
Lipat ke maa se yeh Abbas ne kaha ro kar
Ghazab hua mere Baba Ali shaheed huey
Zuba Zuba Pe Hai Nauha Ali Shaheed Huey
Naamazion ke hain aakhon mein khoon ke aasoo
Udaas Udaas hai Sajda Ali shaheed huey
Zuba Zuba Pe Hai Nauha Ali Shaheed Huey
Hai aaj hoor o malak ki siyah pooshaken
Hai kayanaat ko sadma Ali shaheed huey
Zuba Zuba Pe Hai Nauha Ali Shaheed Huey
Charagh e Haq ko bujhaya hawa e baatil ne
Hai masjidoN meiN andhera, Ali Shaheed Huey
Zuba Zuba Pe Hai Nauha Ali Shaheed Huey
Jabeen se khoon jo tapka to ro diya Ramzaan
Tadap ke bola yeh Qibla Ali shaheed huey
Zuba Zuba Pe Hai Nauha Ali Shaheed Huey
Raza* jo likh chuka nauha to yeh qalam ne kaha
Hasan ko dejyea pursa Ali shaheed huey
Zuba Zuba Pe Hai Nauha Ali Shaheed Huey