Zainab tadap ke rotiN thiN aaye jo yeh khabar
Abbas qatl ho gaye Naher e Furath par
Zainab tadap ke rotiN thiN aaye jo yeh khabar
Sarwar ko apne gham mein rula kar chal e gaye
Ahl e haram ko dasht mein be aas chhod kar
Zainab tadap ke rotiN thiN aaye jo yeh khabar
Laila ki hasratoN ko bhi paamaal kar gaya
Barchi ka phal who seena e Akbar ko chhed kar
Zainab tadap ke rotiN thiN aaye jo yeh khabar
Chehre ka rang Zainab e Muztar ka udh gaya
Ayee na runn se betoN ki jis dum koi khabar
Zainab tadap ke rotiN thiN aaye jo yeh khabar
Suraj hua guroob, qayamat guzar gayi
Lutne laga Hussain ka asbaab, maal o zar
Zainab tadap ke rotiN thiN aaye jo yeh khabar
Bechain ho ke, haaton mein kuza liye
Asghar ko dhoondti thi Sakeena idhar udhar
Zainab tadap ke rotiN thiN aaye jo yeh khabar
Baithi hai haul naak andheeroN ke darmiyan
Maqtal ki sarzamin par Zanab jhukaye sar
Zainab tadap ke rotiN thiN aaye jo yeh khabar
KhaimoN ki aag jism ko jhulsa rahi thi
Aada ki zulm rooh ko karte thay nauhagar
Zainab tadap ke rotiN thiN aaye jo yeh khabar
HaatoN mein rassiya thin to pairon mein bedeyian
Zulm o sitam ke baad bhi jaari raha safar
Zainab tadap ke rotiN thiN aaye jo yeh khabar
Yeh umr aur bachchon ka ooton par baithna
Maaon ka dil tadap gaya manzar yeh dekh kar
Zainab tadap ke rotiN thiN aaye jo yeh khabar
Udtey hue parindoN ko dekha toh ro padi
Shayad Sakina bibi ko yaad aa gaya hai ghar
Zainab tadap ke rotiN thiN aaye jo yeh khabar
Hooron mein shor tha to malayak thay ghamzada
Saidanyon ko shaam ke balwe mein dekh kar
Zainab tadap ke rotiN thiN aaye jo yeh khabar
Darbaar mein yazeed ke zainab hain be -rida
Ab to madad ko aayea ya Sayyadul Bashar
Zainab tadap ke rotiN thiN aaye jo yeh khabar
Mitti jo qaid-khane ki raas aa gayi use
Ahle haram mein girya o maatam tha raat bhar
Zainab tadap ke rotiN thiN aaye jo yeh khabar
Karbobala pa ashk Raza* jo bahayen ge
Hain bas unhi ke waaste jannat ke baam o dar