Yeh ro ke kahtiN thiN Bint e Haider

Noha

Yeh ro ke kahtiN thiN Bint e Haider, Najaf se Baba madad to aao
Hai rann mein tanha mera Baraadar, Najaf se Baba madad to aao
Yeh ro ke kahtiN thiN Bint e Haider, Najaf se Baba madad to aao

Ajeeb chhere par bekali hai, jigar mein tooti hui ani hai
Tadap raha hai zameen par Akbar, Najaf se Baba madad to aao

Tamaam khaimeN jale huey hain, yeh nannhe bachche dare huey hain
Bohut hi purhaul hai yeh manzar, Najaf se Baba m adad to aao

Luta hai asbaab rann mein saara, hai charkh ab saibaa hamara
Haram hai nauhakuna khule-sar, Najaf se Baba madad to aao

Bhala rahe dil par kaise kaabu, ke apna ghaazi kata ke baazoo
Who soo gaya naher e Alqama par, Najaf se Baba madad to aao

Lahed banate haiN Bezubaan ki, yeh Shah ki manzil hai imtehan ki
MaleN hain chhere par khoon e Asghar, Najaf se Baba madad to aao

Jo ek shab ka bana tha Dhoola, Pada hai tukdon mein uska lasha
Lagen hain Kubra ke dil par nashtar, Najaf se Baba madad to aa o

Suno toh fariyaad ab Khudaara, ke jeena mushkil hua hamara
PukartiN hooN tumhe barabar, Najaf se Baba madad to aao

Sukoon Madar ko kaise aaye, zameen par Asghar pada hai haye
LaboN par sookhi zabaan phira kar, Najaf se Baba madad to aao

Hai zakhm dil me safar hai jaari, yeh beriyan aur yeh tauq bhaari
Who mera Aabid chale toh kyunkar, Najaf se Baba madad to aao

Sakina Asghar ko dhoondti hai, kahan hai bhaiyya yeh poochti hai
Pata main usko bataooN kyunkar, Najaf se Baba madad to aao

Atash ka hamla hai ab bhi jaari, yateem bachchon par ghash hai jaari
Na koi hamdam na koi yaawar, Najaf se Baba madad to aao

Nahin hai apna koi sahara, khayaal kuch toh karo hamara
Dikhao Mushkil -Kushaii aa kar, Najaf se Baba madad to aao

Raza* bahhatar ke zakm kha kar, hai sar ba-sajda mera baradar
Liye hai haatoN mein Shimr Khanjar, Najaf se Baba madad to aao

Yeh ro ke kahtiN thiN Bint e Haider, Najaf se Baba madad to aao
Hai rann mein tanha mera Baraadar, Najaf se Baba madad to aao

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *