Ya Mustafa s.a. Ali ke janaze par aayea
Apne Wasi ka dhoom se laasha uthayea
Naushah ko pinhaya tha khillath Huzoor ne
Kafan ke baad e Marg bhi duhla banayea
Ittar e Suhaag aaya tha Jannat se roz e Agdh
Kafoor aaj laash ki khaatir mangayea
Ek roz woh tha jab ke suna Khudaba e Nikah
Ek din yeh hai ke kahte hain talkin sunayea
Kaatin hain raaten taat e haq mein Imaam ne
Be waqt aaj sooye hain Maula, jagayea
Sibtain khaakh udateN haiN mayyat pa Shah ki
BachchoN ko aa ke apne gale se lgayea
Bewarison ka poochne wala koi nahin
Gurbat zado ko jeene ki soorat batayea
BachchoN ke sar se Baap ka saya bhi uth gaya
Nusrat ko ab YateemoN ki tashreef laiyea
Qaisar* ko mushkilaat ne ghera hai in dinon
Mushkil -Kusha e khalq, madad ko ab aayea
Ya Mustafa s.a. Ali ke janaze par aayea
Apne Wasi ka dhoom se laasha uthayea