Hur jo khidmat mai sheh ki aaya hai
Apni taqdeer ko jagaya hai
Haq o batil ka farq jaan gaya
Sheh ke qadmoN mai sar jhukaya hai
Deene haq par shaheed hone ko
Apne betoN ko saath laya hai
Shamma imaN ki jab jali dil mai
Nusrate Sheh ko tab woh aaya hai
Koi dekhe to azmate Shabbir
pani dushman ko bhi pilaya hai
fakhr qyun na ho usko qismat par
jisko Sheh ne gale lagaya hai
raahe haq mai to jaan de di magar
saath moula ka usne paya hai
umr bhar ke gunah muaaf hue
jab bhi sajde mai sar jhukaya hai
Sayyada ka rumal Hur ki jabiN
kysa rutba ye Hur ne paya hai
jo b nusrat ko aa gaya Sheh ki
usko Moula ne bakhshwaya hai
rashk ata hai Hur ki qismat par
khuld mai qasr jisne paya hai