Tadapkar yaas o hasrat ne pukara Zainab ai Zainab – Zainab ai Zainab

Noha

Tadapkar yaas o hasrat ne pukara Zainab ai Zainab
Tera maajaya marne ko sidhara Zainab ai Zainab

Ali Akbar ne bahaye daal ke ghode ki gardan mein
Shaqi ne zor se naiza jo mara Zainab ai Zainab

Ali Akbar ne hichke le ke dam toda to Shah bole
Basarat le gaya aakhon ka tara Zainab ai Zainab

Wafa-e-hazarat-e Abbas yeh boli na ghabrao
Abhi hai sher sa bhaai tumhara Zainab ai Zainab

Shujhaat Hazarat-e-Abbas ki ghut ghut ke yreh boli
Bahut majboor hai bhai tumhara Zainab ai Zainab

Hua kohram sab ahle haram sar peet kar roye
Dam-e-rukhsat jab Sarwar ne pukara Zainab ai Zainab

Baraye bad-dua Zainab ne jab soo-e-falak dekha
Gulu-e-Shah ne hasrat se pukara Zainab ai Zainab

Tadapkar yaas o hasrat ne pukara Zainab ai Zainab
Bahen ghabraye jab Nasir* Sukoot -e-Sha ne farmaya
Nahin ab koi bhi Nasir* hamara Zainab ai Zainab

Tadapkar yaas o hasrat ne pukara Zainab ai Zainab
Tera maajaya marne ko sidhara Zainab ai Zainab

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *